Jump to content
IndiaDivine.org

Re

Rate this topic


Guest guest

Recommended Posts

Guest guest

Mere priya adhyatmic mitra,

bahut se raste bhatakne wale hai unme se yeh ek hai.prantu yeh log knyon ees

raste pay chalte hai kyonki yeh unka mansik nature hei(tamsic). unhe ucchkoti

ka gyan or guru prapt nahi hote is liya bhi veh es marg per chalte hai.

siddha rasta ek hi hai or veh hai yog. Hath yog dwara apne mandir rupe shirir ko

swaste rakho. mantra yog dware apne sahi desires ki purti karo(having control &

then leaving it afterwards) or dhyan yog dwara jo ki lord krishna ne gita me

kaha hai us param tatma se jano. es raste ko "kriya yog" bhi kaha jata hai.

aap patanjali yog per chal sakte hai kyoki yeh scientific hai, proven hai koi

aandh vishwas nahi hai na hi bhatkanewala hai. or yeh satya hai aur agar app me

himmat hai, sincerety hai to 6 months me aap yogi hoonge. sara univers ka gyaan

aape kadmo me hoga.

umeeed karte hoon ki tumahri jigyasa ka sahi utter diya hoga.

Thanks.

Rohit.

-

naveen chainani

sunnyan (AT) now-india (DOT) net.in

Thursday, July 04, 2002 5:43 PM

thanks

ll jai guru dev ll

adarniy rohit bhai aapke mail ke liye dhanyvaad

.................bahut atchha laga ki duniya mein ap jaise log bhi hain jo aaj

kal ke modern jamane mein yam or niyam ka palan karne ki itchh rakhte hain mein

swyam isko pasand karta hun ..............atchha aapse kuchh or bhi poochhna

chahata hun .................yadi koi vammargi tarike se sadhana sampann karta

hai to kya us vyakti ko moksh ki prapti hoti hai .............kyonki vammargi

sadhna ke antergat hi bali dene ka vidhan hai .............or bali dena matlab

kisi ko dukh dena ............or kisi ko dukh dekar hum moksh prapti nahi kar

sakte .................par jab logon ko pata hai ki iska parinaam aage jake

atchh nahi hoga to bhi log vammargi sadhana kyon karte hain..........

aasha hai aap mere ? ka answer

jarur denge

dhanyavad

ll jai gurudev ll

Link to comment
Share on other sites

Join the conversation

You are posting as a guest. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.

Guest
Reply to this topic...

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
×
×
  • Create New...