Jump to content
IndiaDivine.org

Sai Mahima [In hindi verses 6-11]

Rate this topic


Guest guest

Recommended Posts

Guest guest

6. kushthh rogi bagoji shinde,aayee sai baba ke paas , jeevan bhar nij sewamein

rakh kar, unke rog ko haran liya, aamlipit rog wah haizaa, say badayhee peedit

thay booti, dhooni say udhi dayker baba unko rog say muukt kiya, aatisaar kee

beemari thee kaka mahajini ko, swasthh kiye unko baba moongfali khila kar,

baday hee peedit theay shyama, bavaseer rog say, daya kay saagar sai nay, haran

liya bavaseer ko, chowdah varshon kay udhar rog say thay baday peedit dattopant,

harda ke aise dukhi ko dekhkar unko rog say mukt kiya, bheemaji paatil

mahanubhaav thee narayan gaaon ke shay rogi, aise bhyankar rog ko door kiya

jagishwar ne. aise

baba jag mein aaye jin kee mahima koi na jaane.

7. aajanu bahu ban kar aaye , vishva ko ashish dene ko, teeno lok ne ashshpaayee

aise ajanu bahu say ,pooray vishva ki raksha karne, raat din baba jaagtethay

apni neend vah sab kuch tyagkar ,bahut he sewa karte thay , shirdishetra mein

rah kar baba vishva ki mahaan sewa kee unsay bad kar mahaan tyagi koi na vishva

mein janam liya, dwarkamai masjid thee,gurkul jaise gyan ashram gyaniyon ka mela

thha hardam saiishwar ke paas,desh videsh say aakar log gyan vah bahgti paate

thee, poorna gyani saiishwar sab ko sab kuch dete thay bhgawat geeta ko samjaya

deputcollector nana ko, vishnu sahistnaam ko samja kaka sahib dixit ne, naath

baghwat ko padte thee saiishwar say hemandpant, dixit jog

vah b.v.dev ne gyaneshwari ka gyan liya,gur charitra kaa paath karaya sri saathe

say sai ne, upnishdon ka aarth bataya nij premiyon ko baba ne , kuraan sharif ke

tatva ko samja abdulla ne sai say, sai premi mooulvi faatiha ko padte thay. aise

baba jag mein aaye jin kee mahima koi na jaane.

8. latka kar ghanti masjid mein, masjid mandir ek kiye, namaj puja ban gayeek,

muslim hindu ho gaye ek, yeh hai agnee parsi ki yeh hai dwar gurdwara,ayse sai

baba kah kar vibhin jaati ko ek kiye. aise baba jag mein aaye jin kee mahima

koi na jaane.9. vishwa roop ka darshan diya, nijh bakton ko sai ne, poorna

khandoba thaysai, mhalsapati kahte thay, ramdasiyon ne dekha, shirdishwar main

ramko,pandarinath ka darshan diya, das ganu maharaj ko, srishti palak vishnu

kodekha niyayadish rege ne, kailash pati shiv ko dekha, saishwar main meghane,

dashavtaron ne darshn diye,

dwarkamai masjid main, aise darshan naathmain pakar, naath ko vishwa ne maan

liya. aise baba jag mein aaye jin kee mahima koi na jaane.

10. alap aayu hi main baba, swecha maran pesh kiye, aadhi shankar jaisebaba, deh

apna tiyag diye, dhiraj vishwas prem se, sabne us ki raksha ki,thik tisre din ke

baad, jagrit ho gaye sai naath, jagrit ho kar jagriti kardi, har manav ko apni

aur. aise baba jag mein aaye jin kee mahima koi na jaane.

11. mhalsa pati tatya patil, bade hi tere premi thay, sote jagte chaltephirte,

saath hardam rahte thay, laxmibai mahalaxmi, nitya seva karti thi,dekar unko

rupaye nau, sari bakti de diye, vish se pirit shyama aaye, aisesai baba ke

paas, vish ko turant door kiye, bhole shankar sai ne, pranbachai maindak ne,

apne shatru ke mukh se, tha vah hukum baba ka, taal nakoi sakta tha. aise baba

jag mein aaye jin kee mahima koi na jaane."Gurur Brahma Gurur VishnuGurur Devoh

Maheshwar;Gurur Shakshat ParambramhaTashmai Shri Gurur Veh Namah"May the

Merciful Sri Sai Baba always shower His grace on us and our families and remove

our problems and anxieties by giving us all - strength , goodluck, success and

happiness with peace of mind.Sai

bhakt,Deepa Hdebu7366

Sports Rekindle the Rivalries. Sign up for Fantasy Football

Link to comment
Share on other sites

Join the conversation

You are posting as a guest. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.

Guest
Reply to this topic...

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
×
×
  • Create New...