Guest guest Posted July 23, 2008 Report Share Posted July 23, 2008 dear girish ji, jai gurudev, ye guru ji ki adiviytiya kripa hai aap par ki aap ki wish ko unhone itne jaldi poora kar diya .aap isi onth ki mtyv patrika me iski vidhiyan padh sakte hain. karnapisachini naam se bhaybhit hone ki jaroorat nahi ,balki yeh bhi apne aap me importent sadhana hai.guruji ne is saadhna ko 1986 me tantra shivir me karaya tha aur tabhi unhone is sadhana ke kai agyat rahasyon ko sadhakon ke samane rakha tha .yeh sadhana vyakti ke man se aapka sampark karaa deti hai jiske kaaran aap kisi bhi vyakti ke man ko pakad kar uske dwara uska past bata sakte hain atyant high lable ki practice ho jaane par aap uska bhavishya bhi bata sakte hain kyonki yeh hamare man se samne baithe vayakti ke mano ke beech conection kar deti hai. yeh sadhana vaam marg aur soumya marg dono hi tarike se ki jaa sakti hai .mantra ke lagataar abhyas se aap ko dheere dheere kai aisi aavajen sunayee dene lagti hain jo aapne shayad pahle kabhi nahi suni ho. par ek saadhak ki pariksha is sadhana ki siddhi ke baad shuru hoti hai ,kyunki wo apne aas paas ke logo ki un maansikta ko bhi janne lagta hai jo ki behad gandi aur buri bhi ho sakti hain .ab yeh aap par hai ki aap apne apko kaise shant rakh pate hain.mujhe sadgurudev ka ek kathan hamesha yaad aata hai ki siddhi pana kathin nahi hai,kathin to use paane ke baad samanya rahne ya use pacha lene me hain.aap sambandhit diksha le len to behtar hai. aap ka hi a.k.nikhil Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Recommended Posts
Join the conversation
You are posting as a guest. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.