Guest guest Posted September 29, 2008 Report Share Posted September 29, 2008 dear all, jai gurudev, navratri ke is paaavan parv par pratyek sadhak koi na koi sadhana karta hi hai.hamare daily routin me ham ratyek kshan doshyukt hote hi rahte hain ,phir chahe vo dosh vachik ho,mansik ho,ya daihik ho ,kyunki chintan se ,dekhne se,bolne se ya khane peene se hamara karm path doshyukt ho hi jata hai. tab in dosho ka parihar anivarya ho jata hai sadhana me safalta pane ke liye aur ek mahatvpoorna baat yeh bhi hai ki jabki ham param poojya sadgurudev se dikshit hain aur unke mantra putra hain to kya itna hi hame safalta dilane ke liye paryapt hai..... shayad nahi ? kyunki ham to us divya shaktipaat ko bhi apn sharir aur aatma me sambhal kar nahi rakh pate hain.kyunki hamara chitt hi aisa hai .aur uske baad sadhana me asafal hone par uska dosh sadhana paddhati ko ya mantra ko dene lagte hain. lekin kya kabhi hamne yeh socha hai ki samanya jeevan jeete huye bhi kaise sadhanaon me safalta pakar apne jeevan me apni manokamna ko poora kiya ja sakta hai.kyunki hamara dayitva dora ho jata hai khud ke prati. 1.hamare sharir ko sparsh karke ya mantra ke madhyam se guru ne mantron ar shakti se yukt banaya hai. 2.hame swayam bhi uchchta ko pana hai is jeevan me to us shakti ke pravah ko jo sadgurudev dwara pradan ki gayee hai.sambhal kar rakhna hi hoga kyunki vatavaran me ashuri shaktiyan nirantar bhatakti rahti hain aur hame mansa ,vacha,karmana dooshit karti rahti hain. tibbet me lama apne dikshit sharir ko isiliye sambhal kar kisi gufa me rakh ete hain aur kisi anya shair se sadhana karke shakti ko badhate rahte hain.kyunki unka guru sansparsit sharir unhe nasth hone ke baad unhe nahi mil payega.isi liye us sharir ko dirghayushy roop pradan karne ke liye hi sharir parivartan waha jaroori rahta hai. hamare liye shayad yeh sambhav nahi hai lekin ham bhi guru pradatt vidhiyon ya gupt sootron ko apni sadhana me apna kar safalta paa sakte hain. 1. navarn mantra ka 3 mala jap aap ko 3 dosho se bachata hai .par iska matlab yeh bhi nahi ki dosh janboojh kar kiye jayen .is ivya mantra ko pratyek mantra jap ke pahle karna chahiye. mantra:-aim hreem kleem chamundayei vichche 2.sarva dosh nivaran mantra ki 11 mala perday yadi navratri ke 9 dinon me ki jaye to bhi tridosho ka shaman hota hai. mantra:-om tatsviturvareniyam sarv dosh papan nivaraty dhiyo yonah prachodayat 3.teen siddhifalon ko kale tilon ki heri par sthapit kar unk samne 3 mala "vam" beej mantra ki ki jaye aur sadhana (jo bhi aap kar rahe ho uski) samapti ke baad uski samagri ke sath in siddhifalon ko bhi vasarjit kar den to safalta milti hi hai. 4.poorn roop se kumarika poojan karne se kaise bhi bhayak doshon aur papon ka shaman hota hi hai. in upayon ke atirikt gurudev se "poorna pap tap sanharini diksha" prapt karna to jeevan ka saubhagya hi hai.jisse safalta aapke gale me varmala dal kar aapka varan karti hai. aapka hi a.k.nikhil Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Recommended Posts
Join the conversation
You are posting as a guest. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.