Jump to content
IndiaDivine.org

kaalsarp yog: my view

Rate this topic


Guest guest

Recommended Posts

dear all,

jai gurudev,

vigat kuchh varsho se ek aadhar rahit yog se logo ko anavshyak bhaybhit kiya ja raha hai.aur log gyan aur sachchayee ke abhav me bhaybhit hokar manshik shanti aur dhan dono ka nash kar rahe hain.

aur tajjub to yeh hai ki har jyotish ko iske bare me pata hai phir bhale hi usne abhi hi jyotish ki praveshika ko hath me liya ho.iska karan is yog ki nakaratmak prabhav ka prasar hai.aur yeh to hamare custom aur culture me hai ki yadi kisi cheej se nuksaan ho raha hai to phir uska sach mat jano bus bhaybhit raho aur anavshayak upay me dhan aur samay lagao.

ho sakta hai kai varishth jyotishon ko meri baat galat lage par yadi aisa ho to vo nimn tathyon ka khandan satik aur shastrokt aadhar par karen taki sabko sachchayee to pata lage.

kaal sarp jaisa koi yog ya dosh nmahi hai is baat ke liye mere nimn tathya hain:

janmkundli me jo 9 planets hain unme 2 planets chhaya grah hain .rahu aur ketu.

tatha prathvi ka sthan jatak ka swayam ka sthan yani ki lagna hoti hai.

rahu ketu ka prakatya-chandrma ka parikraman tal prithvi ke parikraman tal ki seedh me nahi haibalki kuchh jhuka hua hai,is ka ausat jhukav 5 ansh 8 kala aur 45 vikala hai.yahi jhukav kabhi kabhi badhkar 5 ansh 20 kala bhi ho jata hai to kabhi ghatkar 4 ansh 57 kala bhi rah jata hai.aur prithvi ke surya ki parikrma karne ke kaaran chandrma ka tal varsh me minimum 2 baar surya ke kendra ki disha me aa jata hai.jab prithvi aur chandrma ke yeh parikraman tal ek doose ko ek sidhi rekha me kat dete hain to is rekha ke milan bindu ko 'sampaat' kahte hain.jab chandrma prithvi ko kaat kar upar chadhta hai to use arohi sampaat aur jab neeche utarta hai to avrohi sampaat kahte hain yahi arohi sampaat rahu aur avrohi ketu kahlata hai.

ketu ko chandra chhaya aur rahu ko prithvi ki chhaya kaha jata hai.prithvi ki chhya mandlakar hoti hai aur rahu isi chhaya me bhraman karta hai.

khagol vigyan ke anusar chandrma mahine me sirf 2 baar hi prithvi path ko kat ta hai.ia tarah rahu ketu kabhi ek sath nirmit nahi ho sakte kyunki ek sampaat bindu se doosre sampaat bindu tak pahuchne me 13 days aur 11 to 12 hours lagte hain.

rahu ketu sadaiv ek doosre se 7 th hote hainya ki 180 degree hote hainatah adhiktar kundliyon me adhikansh ya saare planets inke beech ho sakte hain.par iska arth yeh nahi ho sakta ki anya grahon ki prabalta ya prabhav ko ye subh ya ashubh kar sake.yeh dono chhaya grah hain atah na to inki koi rashi hai aur nahi inka koi bhav.atah bhavesh ke guno ko yeh grahan kar lete hain.

janm kundli me 3,6,11 bhav me rahu ki sthiti positive hoti hai.

rahu ketu ke prabhav kshetra me bahya varti grah mangal,brihaspati,tatha shani a hi nahi sakte.

jab rahu trik sthan par shubh prabhav deta hai to kalsarp yog ke vashuki,mahapadm,vishakt aadi kaise dushprabhav denge jara bataiye to...jabki in sthano se banne wale kaal sharp yogon ka vivran bhayanak hi hai.

sabse aham baat yeh hai ki yeh yog hai ya dosh ,is vishay me hi matbhed hai.

jyotish me koi bhi yog 4 moolbhoot niyamo ke antargat nirmit hota hai:

1.grahon ke paraspar sambandho ke aadhar par.

2.grahon ki sapeksh stithi ke aadhar par.

3.aakriti vishesh se grahon ka samy hone par.

4.grahon ki rashi vishesh me sthit hone par.

ab jabki koi bhi yog ya to shubh phal data ya ashubh phal data hai to kaal sarp yog kaise kisi ko shubh aur kishi ko ashubh phal de sakta hai.

yeh rahu se ketu ke madhya grahon ke sthit hone par hoga ya ketu se rahu ke madhya ,is baat par hi matbhed hai un mahanubhavo me jo ki iska samarthan karte hain.

is yog ka prachalan kab hua aur kis prachin grah me iska vivran hai yeh bhi koi samarthan karne wala jyotish nahi bata pata hai . aur aap khud hi sochiye ki divya drishti sampann hamare prachin rishiyon se bhala otna bhayanak yog bacha raha yeh baat mere gale ke neeche nahi utarti...

aur jo bhi iske samarthan me tatha iski prachinta ko siddh karne ke liye nimn shlok batate hain :

"putra bhavah sarp shapat sut kshay,nag pratishthaya putrah prapti"

to yeh shlok to panchmasth rahu ka phal batata hai na ki kaal sarp yog ka.aur itne sare iske prakar aur up prakar bata diye gayen hai jitne ki kul jyotish yog ki sankhya bhi nahi hai.

ab in tathyon ko yadi galat sabit kiya ja sake tathyon aur pramano ke aadhar par to hi is yog ya dosh ko sahi mana ja sakta hai .anytha vyarth me bhaybhit karna to galat hi hai.....

aur bhi bahut se tathya hain jo ki is yog ko mangadath hi sabit karte hain jinhe aage kabhi prastut kiya jayega.

"iti sham"

aap ka hi

a.k.nikhil

 

 

 

 

 

 

 

 

Link to comment
Share on other sites

Join the conversation

You are posting as a guest. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.

Guest
Reply to this topic...

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
×
×
  • Create New...