Guest guest Posted October 3, 2008 Report Share Posted October 3, 2008 dear all, jai gurudev, .... vartmaan samay me vyakti ke samne sabse mahavpoorna prashna hai apni suraksha ko lekar.aur yadi ham sabal nahi hain to phir kitna bhi paisa ho use ham bacha nahi sakte aur na hi ham hamari samajik pratishtha ko sambhal sakte hain .par sharirik roop se sabal hone se hi kaam nahi chalta hai,balki hame sadhanaon ke un tarikon ya prayogon ki bhi jaankari honi chahiye jo ki swatah siddh aur dirgh prabhavi ho. sadgurudev ne aise kai chhote magar effective prayog diye hain jinhe siddh karne ki avshayakta nahi hai,aur ham jab bhi vipatti me hon to inka prayog kar labh utha sakte hain. unme se main ek importent prayog de raha hoon jo ki "kleem" mantra par aadharit hai aur yeh mantra vaise to siddh hai par iska fast effect uthane ki ek hi condition hai ki sadhak gurumantra ka nitya jap karta ho..... aur yeh anivaryata kyun hai ? iska sabse bada karan hai iske beej mantron ka sanyugman,jo ki aap ke shatru ki shatruta ka daman karta hai aur aap ki positive energy ka itna vistar kar deta hai ,jiske dwara shatru ya viprit manobhav ka vyakti bhi mansik roop se aap ke samne jhukne par majboor ho jata hai ,aur yeh positivness badhati hai aapke dwara kiye gaye gurumantra se .isi liye guru mantra ki perday kam se kam 4 mala anivarya hai hi. aur yeh wo mantra bhi hai jisme guru mantra ko samputit kar diya jata hai. matlab jab aap ke samne sthiti kharab dikh rahi ho to aap guru mantra ka 108 baar mansik jap kare aur uske baad is mantra ko kam se kam 5 minut kare ,aap khud hi dekhenge ki kaise samne wala vyakti aapke samne asahay anubhav karta hua door ho jata hai.uske baad phir se gurumantra ka 108 baar jap dhanya vaad roop me karen. mantra : om kleem sakal shatru stambhitay kleem om phat .....bhale hi yeh prayog chhota dikh raha ho ,lekin mere bandhuon sadhana jagat ka ek niyam hai ki bagair parakhe kriya ko dushan dena sadhak ko shobha nahi deta .yeh prayog bahut varsho pahle patrika me bhi aa chuka hai aur mujh samet saikdo guru bhaiyon ka parkha hua hai isme koi samagri nahi lagti. to aaiye aur is prayog ke liye sadgurudev ko koti koti naman karen........ aap ka hi a.k.nikhil Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Recommended Posts
Join the conversation
You are posting as a guest. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.