Jump to content
IndiaDivine.org

the secret of khechari siddhi

Rate this topic


Guest guest

Recommended Posts

dear all,

jai gurudev,

.....sirf ras tantra hi nahi apitu sadhana jagat ke pratyek anga me hi atyant hi kautuhal ka vishay hai khechri siddhi.sadhana jagat me aisa kaun hoga jisne kabhi na kabhi khechari siddhi ke bare me na suna ho, vayu gaman,isht sakshat,arogya ,dirghayushya,divya drishti ki prapti aadi is vidya ke dwara sahaj hi prapya hai.is vidya ka gyan aur abhyas hone par sadhak apne sharir ke panch tatvon par ek prakar se niyantaran pa leta hai aur isi karan wo apna asan bhoomi se upar vayu me laga sakta hai aur vayu gaman kar sakta hai.aur jab tatvon par niyantran ho jaye to bhala rog kaise apke sharir ko sparsh kar sakte hain.

akhir khecharatv hai kya... are bhai sahastrar se jharte huye divya amrit ka paan karke uske dwara divya bhav aur tatvon par niyantran kar lena hi khechratva hai.

....is sadhana ko alag alag parampara me kai tarike se siddh kiya jata hai par vartman me we sutra lagbhag lupt prayah hi hain.vaise iski prapti ke kai sadhano me se 4 upay adhikta ke sath sadhakon aur siddhon ke madhya prachalit hain.

1.yog marg se

2.mantra sadhana dwara

3.ras baddh khechari gutika ya ksham gutika dwara

4.sadguru dwara shaktipaat se

1.yogmarg dwara iska abhyas atyant hi kathin hai.isme sarvpratham sadhak guru aadesh par 7 dinon tak apne talu sthan ko ghis kar vaha ka sab mail door karta hai.baad me tikchhna dhaar wale suddh chakuu se guru us talumool ko 1baal ke barabar kat deta hai.aur us kate huye sthan par harr aur sendhav lavan ka churna bhurbhuraya jata hai.7 din ke baad phir yahi kram kiya jata hai.is prakar aisa karte rahne se jeebh ka talu ke sath ka bandhan kat jata hai.iske baad jeebh ke agra bhag ko kapde se lapet kar dheere dheere bahar kheecha jata hai.6 mahine tak abhyas karne par jeebh badhkar nasikagra ko (jaha se naak ka prarambh hota hai)sparsh karne lagti haiaur bahar ki taraf thodi tak pahuch ne lagti haiis abhyas ko barabar karne par jeebh kanthkoom tak pahuchne lagti hai.aur aagami 3 varsho me jeebh brahmrandhra tak pahuch kar use dhak leti hai.aur sadhak ke liye raspaan ki kriya sahaj ho jati hai.phir teen varsho ke baad jeebh brahmadwar me pravesh kar jati hai .iske baad sadhak manthan khechari karta hai.iske liye suwarn.chandi athva lohe ki shalaka par dugdhukta tantu lagakar use naak ke bheetar dala jata hai.aur prano ko hridya me nirodh kar sukhasan me baith kar.bhrikuti sthan par dheere dheere manthan kiya jata hai.arthat 12 varshon ke abhyas ke baad sadhak khechratv shakti se yukt ho jata hai.is kriya me jab sadhak jivha ko brahmrandhra me pravesh karata hai to use samast vishva swayam ke bheeta hi dikhayee deta hai.kyunki jivha se brahmarandhra tak jane wale marg me hi brahmand ki sthiti hai.

2.khechari mantra ki sadhana karne se yeh siddhi sahaj hi prapt hoti hai ,yadi niyam poorvak iska abhyas kiya jaye to.is mantra ke beej sahit khechari shakti ka yog karne se sadhak khechron ka adhishvar bankar unhi me rahta hai.khechar ka pratik 'ha'aur dharna ka 'ee'agni ka 'ra'aur jal ka 'ma'.arthat inka kul yog hua"hreem"yeh khechari ka beej mantra hai.somansh'sa'kaar hai uska [pratilom se nava varn hai 'bha'.phir chandrma ka beejakchhar 'sa' hai uska athva akchhar vilom se 'ma' hota hai,phir se paanch akchhar ulta ginne par 'pa' nikalta hai,chandrma ka beej 'sa' aur anek varna wala akchhar 'ksha' antim hai.

mantra :hreem bham sam pam sam ksham

is mantra ko bhav poorvak 5 lakh japne par aur aage guru dwara nirdeshit jap kram ko lagatar karne par nischay hi khechari siddhi prapt hoti hai.is mantra ke samyog dwara hi ras baddh khechari gutika dwara vayu gaman hota hai.kyunki ismntra ke jap se swatah hi bahir kumbhak ki siddhi mil jati hai.jisse vayu gaman sahaj ho jata hai.

3.khechari gutika ka nirmaan rasendra ke dwara hota hai aur us par divya vanaspatiyon ka samskaar karne se vo abadh hokar gutika ban jata hai aur sadhak use muh me rakh kar vayugaman kar sakta hai.aur haath me rakh kar divya siddhon se vartalap va satsang bhi...

4.vartamaan me sadguru dwara divya shaktipaat prapt kar is siddhi ke guhya sootron ko pana hi shreshta upay hai.jo ki sahaj aur sulabh bhi hai.vande nikhilam...

phir der kaisi bandhuon,sochna kya..

are mitakar khak kar de tu apni hasti ko in charnon me,ki dana khakh me milkar hi to gul e guljaar hota hai.

aap ka hi

a.k.nikhil

Link to comment
Share on other sites

Join the conversation

You are posting as a guest. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.

Guest
Reply to this topic...

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
×
×
  • Create New...