Jump to content
IndiaDivine.org

rasayan siddhi

Rate this topic


Guest guest

Recommended Posts

dear all,

jai gurudev,

alchemy ya rasayan vighyan tantra me sabse antim vigyan hai aur iske dwara sadhak bhaoutik aur adhyatmik sukhon ko prapta kar leta hai .is vigyan me safalta pane ke kuchh sadhnatmak upaya hai jinka prayog kar ham safalta pa sakte hain .yadd kijiye pratyek shivir me sadgurudev lakshmi sadhma avashya karvate the aakhir kyun ,?kyunki we apne shishyon ko kabhi kisi bhi abhav se grast nahi dekhna chahte the...

is siddhi ko pane ke liye sabse pahle aapko nimna mantra ka 10000 jap karna padega ,parad shivlinga ke samne .yeh sadhana sunday se start karen aue perday 11 mala karte huye11 days me mantra poore kar len.asan va vastra white rahenge.face north ya east rahega.morning ya night me yeh ki jati hai.

om namo namo hariharay rasayan siddhim kuru kuru swaha

jap ke baad gomootra ,mansil,hartaal,aur gandhak ko saman bhag lekar kharal kare ,kharal tab tak karna hai jab tak ki gomootra sookh na jaye.gomootra lal gaay ka lena hai aur gandhak bhi lal hi lena hai.

kharal karte huye bhi mantra ka jap karna hai.phir us patra ko samne rakhkar dhoop,deep,naivedhya,se 11 days tak poojan karna hai aur mantra ka jap karte rahna hai10000 mantra phir hone chahiye.

iske baad ise mitti ke kulhad me rakhkar uska mukh dhakkan se band kar use kapadmet kar sukha le aur palash ki lakdiyon ki nirdhum agni den karib 24 hour tak.

phir thanda hone par us patra ko nikal kar usme se bhasm le le.is bhasm ko yadi 10gm copper ko garam karuspar 1 grain daal den to uska vedhan ho jata hai wo swarna me change ho jata hai.....

aapka hi

a.k.nikhil

Link to comment
Share on other sites

Join the conversation

You are posting as a guest. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.

Guest
Reply to this topic...

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
×
×
  • Create New...