Jump to content
IndiaDivine.org

IKSHAMRITYU SADHANA(AMAZING)

Rate this topic


Guest guest

Recommended Posts

hv u done this?

--- On Fri, 10/10/08, Arif khan Nikhil <arif_2arif2000 wrote:

Arif khan Nikhil <arif_2arif2000 IKSHAMRITYU SADHANA(AMAZING) Date: Friday, October 10, 2008, 5:33 PM

 

 

shri guru charan kamlebhyo namah dear all,

jai gurudev,

present time me jabki hamari yeh body vibhinn rogo ka ghar matra rah gayee hai .income ka ek big part treatment me hi kharch ho raha hai tab aise me ham sharir ko swasth kaise rakhe yahi sabse bada prashna hai....

... tab kya koi aisa rasta hai jo na sirf hame fit rakhe balki hame poorna arogya aur iksha anusar aayu bhi pradan kare.

ras tantra ke dwara aisa sambhav hai . isi sadhana ko bhism ne bhi apne pita ki agya se kiya tha aur dirghayu payee thi.poorna shraddha se is sadhana ko karne par uprokt sare phal aap prapt kar sakte hain.sad gurudev ne is sadhna ko is prakar bataya hai....

is sadhana ko shukl paksh ki tratiya se aage ke 11 dino tak karte hain .

shvet vastra va aasan ka prayog kiya jata hai.

sabse pahle suddh 8 samskaron se yukt parad ko belpatra ras me kharal kar gutika bana lete hain aur phir morning me bhagwan mahamrityunjay va guru ji ka poojan kar sadhana ki safalta ka ashirvaad va anumati mang kar apne right hand par 1 vilvapatra rakhkar us par parad gutika rakhte hain aur ekagra hokar tratak karte huye mantra ka 108 baar jap karte hain. mantra hone ke baad us vilvpatra ko hatakar doosra rakhte hain aur phir se gutika rakh kar 108 baar jap karte hain .yahi kram 108 patto par kiya jata hai.phir mantra jap ke baad us gutika ko sambhal kar rakh dete hain aur un vilvpatron ko pees kar unka ras grahan kar len.

yehi kram 11 dino tak karna hai .ek imp baat yeh hai ki 108 baar jap hone par wo green patta golden colour me badal jata hai jo ki right way ki taraf sanket karti hai......

mantra: om kleem mrityunjayaay kleem kleem phat

yeh sadhana avashya karen aur labh uthayen aur sadgurudev ko apni kritgyta arpit karen.

aap ka hi

a.k.nikhil

Link to comment
Share on other sites

Join the conversation

You are posting as a guest. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.

Guest
Reply to this topic...

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
×
×
  • Create New...