Guest guest Posted October 20, 2008 Report Share Posted October 20, 2008 dear all, jai gurudev, akal mrityu ka yog ho,ya phir durghatna se vyavsay ,jeevan,rishton par aaghat,tab inko samool nasht karne ke liye bhagwan mahamrityunjaya ki sadhana hi ek aisa marg hoti ho jo un vipattiyon se tarne ka karya karti hai. lekin is sadhana ke kai aise paksha bhi hain jo ki gupt rakhe gaye hain. "trayambakam yajamahe sugandhim pushthivardhanam,urvarukmiv bandhnaan mrityormukshiy mamrtaat" yadi is mantra ka pratidin agnihotra dwara 108 baar jap kiya jaye to isthsiddhi evam aishwarya ki prapti hoti hai. jo sadhak yaksh,yakshini,yogini,ya bhairav-bhairavi sadhana karna chate hain unke liye to yeh sadhana key roop hi hai. is mantra me jo divya shaktiyan samahit hain ve varna roop me nimna prakar hain:- tra - trayambak,trishakti,trinetra va tridev roop hai. ya -yam tatha yagya ma -mangal ba -balark tej kam -kali ka kalyanmay kakaar beej ya -yam,yagya ja -jalandharesh ma -maha shakti he -hakini su -sugandhi,suprabhat,sur ga -ganpati,riddhi-siddhi data dha -dhoomavati beej (kangali hatane ke liye) ma -mahesh pu -pundarikaksha shthi -shatchakra va prano ke sancharan ka bodhak va -vakini ardh -dharm nan -nandi u -uma rva -shiv ki vaam shakti ka ru -roop ,aansu ka -kalyani va -varun ban -bandi devi dha -dhanda devi nan -bhagaditya mri -mrityunjay tyo -nityesh mu -mukti kshi -kshemkari ya -yam maa -mantresh va vardaan mri -mrityunjaya taat -charno me samarpan yeh poorna vivran 'devo bhutva devam yajet' ke anusaar poorna roop se satya hai. aapka hi ****ARIF**** Are you sure you want to send this message? Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Recommended Posts
Join the conversation
You are posting as a guest. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.