Jump to content
IndiaDivine.org

change to gold

Rate this topic


Guest guest

Recommended Posts

dear all,

jai gurudev,

aadhunik rasayan shastra ki drishti se pratyek tatva ka apna ekparmanu sanghatan hota hai,jo ki us tatva ki apni visheshta pradan karta hai aur kisi anya tatva ke parmanu se vaibhinya pradarshan me help karta hai.kisi bhi tatva ke parmanu ek jaise hote hain(ayusotop apvad hai).mote roop me parmanu sanghtan saurmandal ke sanghatan ke jaise hota hai.lord rutharford ke siddhant ke anusar pratyek parmanu ka ek kendra ya nabhik hota hai, isnabhi ka nirman hota haido tarah ke heavy kano se :

1. protons(+ prapranu)

2.nutrons(- prapranu)

is centre ke aas paas alag alag kakshaon me electrons naam ke lagbhag bhaarwihin -vidhyutatmak kan lagatar gati karte hain.

mercury ke pratyek parmanu ke centre me 80 proton aur 120 nutron hote hain,is tarah ikai ka bhar 200 hota hai,aur centre ke 80 electrons chakkar lagate rahte hain.

gold ka parmanu ank 79 hai aur parmanu bhar 197.......

matlab mercury jyada karib hai gold ke ,tab to ise gold me badla ja sakta hai .yadi mercury ke parmanu ko 1 proton se is tarah viddh kiya jaye ki vah centre me centre me kshan bhar thahar kar helium ke roop me bahar aa jaye to mercury ka gold ban jayega:

80 hg200+ip1=79 au 197+he4

mercury ke parmanu centre me se 2 - 3 + - vidhyut kan bahar nikalne ke liye us centre ko tej thokar lagne par hi yeh transmutation hoga.

yeh kaam padhne me to saral lagta hai,par hai bahut kathin,isiliye mercury ke 8-18 samskaar kiye jate hain.sad gun gandhak ka jaran,kraman ,kharal ,put tatha bidon aadi ke dwara unke anu,renu,parmanu ko bhed kar sukshamatisukshma karna.

yadi ham is jankari ko dhyan me rakhkar kriya karenge to hame safal hona hi hai.aur is gyan ko atmasaat kar apni life ko health aur wealth se bhar lena hai.parad samskaar aadi next lekh me.........

aapka hi

 

****ARIF****

Link to comment
Share on other sites

Join the conversation

You are posting as a guest. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.

Guest
Reply to this topic...

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
×
×
  • Create New...