Jump to content
IndiaDivine.org

jyotish ki sarthakta

Rate this topic


Guest guest

Recommended Posts

dear all,

jai gurudev,

jabse hamne aankhe kholi hain tabse hi yeh vichaar hamare andar uthte rahe hain ,ki yeh prakrti kya hai tatha usse hamara sambandha kya hai?hamari shunyata ka visarjan kaha hota hai?kya hum viratta ki raah par apne kadam rakh sakte hain?agar haan to us raah ki badhayen kya hain?

in sabhi prashno ko hal karne ke liye hi brahmnetra arthat jyotirvigyan ki aavshaykta hai.yeh shastra prarambh se anta tak sab maap lene ka gyan deta hai.viraat path par badhaon se jitne ki kriya batakar marg ko sugam aur nirapad banane ki vidhi sikhata hai....

jyotish mool roop se ved ka ansh hai,jiske addhayan ke liye gahan pragya shakti ka hona aavshayak hai,us pavitrta ka aaj abhav ho gaya hai.samanya manushya ko iski paridhi se door rakhne ke liye ruudhivadiyon ne ise jatil kar diya hai.jyotish keval jod-ghatane ki kriya nahi hai.yadi aisa hota to aaj ki ja rahi itni bhavishyavani galat nahi hoti.iske ganitiy paksho ko ubharne ke bajay iske aadhaytmik pakshon ke dwara ham samaj ko adhik saralta se jod sakte hain.aur yehi sahi bhi hai.

nirantar guru sanidhya aur sadhana ke dwara pragya shakti ka vikas kar ke hi grahon dwara dikhaye jane wale adrishya ko pakad sakte hain.aur usi satya ka digdarshan samaj ko ham kara payenge.

jyotish ke gyan me satikta lane ke liye addhyan aur sadhana dono ki hi avashaykta hai.hamara dayitva hai ki saral roop me in niyamo ko sabke samne rakhen .jisse sabhi logo ko sahaj hi unki badhayen samajh me aa jayen.

yadi ham aisa karte hain to 'yat pinde tat brahmande'ka siddhant phalibhoot hokar hame bhagya ka adhikari banakar kathputli hone se bachayega.isiliye jyotish shastra ka bolna behtar hai aur yehi satya hai par jab jyotishi bolne lag jaye to truti hogi hi......

aap ka

a.k.nikhil

 

 

****ARIF****

Link to comment
Share on other sites

Join the conversation

You are posting as a guest. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.

Guest
Reply to this topic...

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
×
×
  • Create New...