Jump to content
IndiaDivine.org

the aim of alchemy

Rate this topic


Guest guest

Recommended Posts

dear all,

jai gurudev,

gyan daan dene wale sadguru hi brahma,vishnu,aur sadashiv hain arthat avichal niyamanusar vishva ke utpadak,samrakshak aur samharak jo dev mane gaye hain unki shakti sadgurudev ke hriday me avasthit rahti hai.in teen loko me unsa dayalu koi nahi hai,ur unke charno me natmastak rahte huye jo bhi gyan ki yachana karta hai use ras siddhi ka phal prapt hota hi hai.

'' we are told that a man can receive the secret knowledge only through divine inspiration or frm the lips of a master,and also that no one can complete the work except with the help of god.''

 

vaam sampraday ki prabal sarita ke pravah me bahte huye samaj ka uddhar karne ke liye is shri vidhya ka (ras vidhya ka) sanatan satya samaj ko diya gaya tha hamare rishiyon dwara.

 

vibhinn rogo ki nivratti ke liye ras ka prayog kar ke rog mukt samaj ka nirmaan is vidhya ka uddeshya tha.

 

nirdhanta rupi mahapaap ko nasht karne ke liye is ras vidhya ka prakatya kiya gaya .jisse jivan me daridrta aur garibi ka shaap sadhak ko na pidit kare.

 

"yatha dehe tatha lohe"

is brahmand me jo shashvat hai vo ras hi hai "raso vai sah".

yah srishti vidyut aur prakas ke parinam swaroop hai.vidhyut,jal,aur prithvi ke kaaryon me pravesh karke sukshmatam,sukshma,sthul, sthultam aadi vibhinn roopon ko dharan karti rahti hai.is vidhyut ka chandra kiran ke saath sammilan hokar jo sthul rupantar hota hai,vah paarad ban jata hai.us paarad ka sthul roop vinash hone par punah mool sukshmatam roop me vilin ho jata hai.iske alava doosra tatva surya kiran hai vah vidhyut ke sath sammilit hokar sthul roop dharan kar rakta gandhak ban jata hai.

yahi do ras siddhon ke mukhya dravya hain.

vishuddh parad ko swarna, abhrak ka graas dekar use rasendra banakar usse hargauri ras ya siddh ras ka nirmaan kiya jata hai.is siddh ras ko hi alag alag desho me alag alag naam se jana jata hai.

greek- unam

china- ching chin

western country-etarnal water

islamic country- aaftaab

ise white rose,red rose,philosopher's stone.elixir vita,arcanus,soul of matter bhi kahte hain.

jivon ko rog mukta aur dridrta se mukta karne ke liye hi ras siddh is har gauri ras ka nirmaan karne ke liye athak praytna karte rahte hain .

.............

aapka

a.k.nikhil

 

****ARIF****

Link to comment
Share on other sites

Join the conversation

You are posting as a guest. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.

Guest
Reply to this topic...

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
×
×
  • Create New...