Jump to content
IndiaDivine.org

parad vigyan aur raseshwari diksha

Rate this topic


Guest guest

Recommended Posts

dear all, jai gurudev, ... ...Jis vigyan ke dwarajeevan me aamool-chool parivartan kiya ja sakta hai . tantra ka wo shresht tam roop sirf paarad vighyan me hi drishtigocharhota hai . tantra ke is prabhag se jeevan ko poorn roop se sanvara jata hai aurjeevan ke sabhi shreshtha uddeshya is sepoore kiye ja sakte hai. Yeh ham sabhisadhakon aur shishyon ka saubhagya haiki aaj bhi hamare Madhya me is divya sadhana ke samast sootron ko pradaan karnewale tatvagya sadgurudev ke roop mehain. Mujhe yeh to nahipata ki aap meri baton ko kitna jyada samajhte honge. Par yadi mujhe kuchh mila hai to aap bhi us vishay kosadgurudev se prapt kar sakte hain. Main baar baaraap logo se nivadan karta hoon ki aap Paarad aur uske mahatv ko samjhe …...... Is universe mepaarad hi wo metal hai jo ki poorna roopse prakriti ke panchbhuton ko swarooput karta hai…..solid – earth ( prithvi)liquid– water (jal)chanchal– air (vayu)light(tez) – fire (agni)sukshma - sky (aakash) Apne inhi swaroopon ke kaaran yeh Bhagwaan Shiv ke panch krityon ka sanchalan bhi kartahai . ShrishtiPaalanSamhaarTirobhavAnugrah Ab to koi abhaga hi hoga jo kripa ke in pakshon ko prapt na kare. Yadi ham apne jeevan ko aishwaryaur duvyatv ke rango se bharna chahtehain to hame Paradeshwar ki sthapna karmahi chahiye aur unka poojan karma chahiye.Unke poojan se sarv vidh manorath poore hote hain . Jin sadhakon ki abhilasha ras vigyan mesafalta pane ki hai ve Raseshwar Gayatrimantra ka jap adhik se adhik Karen. Pardeshwar ke 2 prakar hote hain :1.Sakal Pardeshwar- inka nirmaan Gold, Silver,Abhrak aur Ratno aadi kedwara Parad bandhan karke hota hai. In dhatuon ke grassan ke kaaran sadhak koaishwarya aur moksh dono ki prapti hotihai .jisse jeevan ke sabhi paksh sanwarjate hain. 2. Nishkal Pardeshwar – inka nirmaanpoorn roop se divya vanaspatiyon aur Paarad ke dwara hota hai .yeh raseshwar yogiyon ke madhya aadhyatmik urjadene ke liye vikhyaat hai. Aur inki sadhana bhi unhe hi phalibhoot hoti haikyunki ek maryadit jeevan ka paalan grahsthon ke liye sambhav nahi hai. Ras vigyan me safalta aur siddhhone ke liye Raseshwari diksha anivarya hi hai , is divvy diksha ke dwarasadhak ke sharir me guru un divya beej mantron aur shakti ka sthapan kar deta hai jiske dwara sadhak kosafalta milti hi hai , aur we rahasy bhigyat ho jate hain jo kaal va paatra ki maryada ke kaaran gupt rakhe jate hain. Is diksha ke 5 charan hote hain.: 1.Samaya diksha 2. Sadhak diksha3. Nirvana diksha4. Aacharya diksha5. Siddh diksha Is diksha ke baad aapko sadguru se paarad ke Rasendra Stotra , NIshkal RasStotra aur Rasheshwai Mantra ki praptihoti hai jiske dwara paarad ki devdurlabhbandhan prakriya sahaj ho jati hai ..... Raseshwar Gayatri Mantra : Ayiem Raseshwaray vidmaheRasankushay dhimahi tannoh sutah prachodayat Ab main to sirf yahi kah sakta hoon kiyadi abhi bhi ham nahi jaage to hamare durbhagy ke doshi ham hi hain aur koinahi....... Aap ka hi ****ARIF****

Link to comment
Share on other sites

Join the conversation

You are posting as a guest. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.

Guest
Reply to this topic...

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
×
×
  • Create New...