Guest guest Posted December 1, 2008 Report Share Posted December 1, 2008 Dear all , Jai gurudev, Jeevan me mansik aur bhautik unnati ke liye dhan ki upyogita ko nakara nahi ja sakta. Kyunki kahavat hai ki "shatru ko yadi samapt karma ho to uski arthik pragti ke source ko hi khatm kar do wo khud hi khatm ho jayegaâ". Sadgurudev ne kabhi bhi yeh nahi kaha ki daridra rahne me mahanta hai. Na hi unhone yeh kah ki jitna hai utne me sukhi raho jaise wakyon ko shishyon par lada. Bhagya ko saubhagya me badalne aur jeevan star ko ucha uthane ke liye hi unhone pratyek shivir me dhan va saubhagya se sambandhit sadhnayen shishyon aur sadhakon ko karwayee. Inhi sadhnaon me parad lakshmi jo shri ka hi pratik hai ka prayog va sthapan poorn prabhav dayak hai. Jis ghar me bhi paradeshwari sthapit hoti hain ,us sthan par daridrta rah hi nahi sakti , aishwary va saubhagya ko waha par aana hi padta hai , mujhe apne jeevan me jo bhi safalta va unnati ki prapti huyee hai ,uske mool me bhagwati pardeshwari ki sadhna aur sthap ka abhootpoorv yogdaan hai. Hame pardeshwari se aur arthik unnati se sambandhit kuchh baton ki jankari honi chahiye : parad lakshmi ka nirmaan vishuddh parad se hona chahiye kyunki paarad chanchal hota hai aur lakshmi bhi chanchal hoti hain , is liye parad ke bandhan ke sath lakshmi bhi abadh hote jati hain. pardeshwari ka nirmaan shreshtha va dhan pradayak yog me hona chahiye. Pardeshvari ke nirmaan ke liye paarad mardan karte samay tatha unke ango ko banate samay rajas mantra ka jap 20000 baar hona chahiye isme 10000 mantra kharal karte huye samanya roop se tatha 10000 baar lom vilom roop se mantra ke pratyek varn ka sthapan unke angon me karma chahiye. Rajas mantra jo ki aadharbhoot mantra ya poorna varnatmak mantra kahlata hai ke bina inka nirmaan karne par chaitnyta ka abhav rahta hai tatha yeh ek vigrah matra hoti hain jise ghar me rakhne par koi laabh nahi hota . yehi wajah hai ki jab aap kisi dukan se is prakar ki murti late hain to koi labh nahi hota bhale hi aap unki kitni bhi pooja kar len. kyunki us pratima me chaitnyto aur pran pratishtha ka abhav hota hai. Pardeshwari ka sthapan south east disha me hona chahiye. Iske baad aap sadd gurudev se inka mantra prapt kar prayog kare , yadi prayog nahi bhi kar pate tab bhi inka sthapan unnati ke path par aapko agrasar karta hi hai. Aap in baton ka dhyan rakhe aur dekhe ki kaise sampannta aapke gale me varmala dalti hai.......... Aap ka hi ****ARIF**** Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Recommended Posts
Join the conversation
You are posting as a guest. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.