Guest guest Posted December 1, 2008 Report Share Posted December 1, 2008 Hi Asheesh,  Thank you very much for hindi typing google website. I tried to translate Arif's message and it works very well. But this has to be done word by word, by pressing space bar after each word. I could not get it working for the whole document (Ctrl-G). Or maybe it is my ignorance.  Regards NS  पà¥à¤°à¤¿à¤¯ आतà¥à¤®à¥€à¤¯à¥‹à¤‚,         जय गà¥à¤°à¥à¤¦à¥‡à¤µ,         पिछले लेख में मैंने लिखा था की जà¥à¤¯à¥‹à¤¤à¤¿à¤· सिरà¥à¤«à¤¼ जोड़ घटना या गणितीय विसà¥à¤¤à¤¾à¤° नही है अपितॠबà¥à¤°à¤¹à¥à¤®à¤¾à¤£à¥à¤¡ से सवà¥à¤šà¥‡à¤¤à¤¨à¤¾ को à¤à¤•à¤¾à¤•à¤¾à¤° कर उसके गूढ़ रहसà¥à¤¯à¥‹à¤‚ का समायोजन अपनी साधना से करने की कà¥à¤°à¤¿à¤¯à¤¾ जà¥à¤¯à¥‹à¤¤à¤¿à¤· कहलाती है. और यही कà¥à¤°à¤¿à¤¯à¤¾ जà¥à¤¯à¥‹à¤¤à¤¿à¤° विजà¥à¤žà¤¾à¤¨ या जà¥à¤¯à¥‹à¤¤à¤¿à¤· कहलाती है ,उनà¥à¤¦à¥‡à¤«à¤¿à¤¨à¥‡à¤¦à¥à¤¸à¤¦à¥à¤—à¥à¤° उ देव ने अपने शिषà¥à¤¯à¥‹à¤‚ को यही कà¥à¤°à¤¿à¤¯à¤¾ पà¥à¤°à¤¦à¤¾à¤¨ की है .         --- On Sat, 11/8/08, Arif khan Nikhil <arif_2arif2000 wrote: Arif khan Nikhil <arif_2arif2000 rahu sadhana se rog mukti Saturday, November 8, 2008, 6:08 AM priy aatmiyo,         jai gurudev,         pichhle lekh me maine likha tha ki jyotish sirf jod ghatana ya ganitiy vistaar nahi hai apitu brahmaand se savchetnaa ko ekakaar kar uske gudh rahasyon ka samayojan apni sadhana se karne ki kriya jyotish kahlati hai. aur yahi kriya jyotir vigyaan ya jyotish kahlaati hai,undefinedsadgur u dev ne apne shishyon ko yahi kriya pradaan ki hai.         ve lagataar apne shishyon ko yahi udghosh karne ke liye kahte the ki hame bhakti nahi sadhana chahiye. lekin aaj ham apne aapko tatol undefinedker dekhe to ham khud hi samajh sakte hain ki ham kya ker rahe hai. abhi kayee mails hamare group me aisi aayee hain jinme tantr se bachne ke upaay poochhe gaye hain,mere bhaiyon aap nikhil sad gurudev ke mantr poot hain .unki divy shakti ka pravaah hamare rakt hamari aatma me tej ban kar daud raha hai.to tantr ka dushprabhaav kaise hame vyakul kiye huye hai. shayad ham me hi kami hai.kyoki sadhana ke mahatv ko hamne shaayad samjha hi nahi hai.khair ye to hamara nitant vyaktik vishay hai. undefinedyahaan baat jyotish ki ho rahi hai. jyotish itna gudh vishay hai ki use ganit se samjha hi nahi ja sakta kyunki ganit ke aadhar par jo bavishyavani ya phal kathan hota hai vo bhi jyada se jyada 60 % sahi hota hai wo bhi tab jab aapke paas sahi samay ho .aur aapko sukshm dasha , praan dasha, beej kundli aadi ka praayogik gyan ho. par itna samay kya hai hamare paas ,shayad nahi?      kya ham yeh bata sakte hain ki koi grah yadi naisargik roop se kroor hai to kya uska aisa bhi vardayak prabhav ho sakta hai ki vi kisi bhi any grah janit rog ko samapt ker hame rog mukt kare phir bhale hi vo rog bhautik ho,mansik ho, tantr janit ho ya pret,adhidaivik ho, sochiye.                   samast graho me itna sukhad prabhav sirf raahu me hi hai , janm kundli me yadi rahu shubh ho to any grahon ke ashubh prabhav ko wo shubhta deta hai ,gurudev ne bataya tha ki jaise vish ke dwara hi vish ka upchaar kabhi kabhi kiya jata hai vaise hi sharir ke kaise bhi rog ka upchar rahu grah ki vishesh sadhana se sambhav hai,chahe vo netr rog ho,chahe hriday rog ho ya phir jodo ka rog. is prayog ko itne saral roop me sad guru dev ne diya tha ki jise kaha bhi nahi ja sakta. is prayog ko swayam ya rogi ke liye uske naam ka sankalp lekar koi bhi kar sakta hai. rahu mahayantr,rahu mala, tel ka deepak ,hi anivary samagri hain baki vastra aasn,disha,samay ka koi niyam nahi hai ,ravi,mangal, shukr,shani ko yeh prayog kiya jata hai. vidhi :-dayen hath me kale til aur peele pushp lekar rogi ke upar se 7 baar ghumayen aur yantr ke samne kisi patr me rakh de ,deepak jalakar rog mukti ke liye prarthana kare aur nimn mantr ki matr 1 mala karen.jap ke baad phir se usi samgri ko 7 baar ghumayen aur yantr,mala,deepak, va any samgri ko kisi tirahe par phikva den ya gadva den.labh ki drishti se is prayog ko tab tak kiya ja sakta hai jab tak ki poorn swasthy labh na ho jaye. mantr:- om kleem kleem rog naashaarthe rahve kleem kleem phat .      aap is prayog ko kar ke dekhe nishchay hi ashchary me doob jayenge.yeh sad guru dev ki mahti kripa hai ki unhone kuch bhi gopniy na rakhkar sab kuch hame diya hai.to rona chode aur sadhana ko apnayen.                                         \                                         \                    aapka hi                                       ****\ ARIF**** Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Recommended Posts
Join the conversation
You are posting as a guest. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.