Jump to content
IndiaDivine.org

Rudraksh ke chamatkarik prabhav

Rate this topic


Guest guest

Recommended Posts

dear all,

jai gurudev,

 

adhyatmic roop se rudraksh ke prabhavo ki jankari to lagbhag pratyek sadhako ko hogi , par aaj main aap logo ke samne sharirik aur mansik rogo ko nasht karne wale iske prabhavon ka vivran de raha hoon aur asha karta hoon ki aap sabhi iska labh uthayenge.

 

1 mukhi Rudraksh : hriday se sanbandhit rogo, back bone ke rog, rakt vikar tatha surya se grah ke karan yadi janm kundli me koi bhi samasya ho to ise dharan karne se poorn labh hota hai.

2 mukhi Rudraksh : smaran shakti , mansik rogo, mahilaon ke vaksh sthal ke rogo, pet ke vikaron, tatha chandrma ke kaaran utpann samasya ka nidan ise dharan karne se hota hai.

3 mukhi Rudraksh : garbhashay ke rogo , prajnan ki samasya se mukti tatha youn kshamta me vraddhi ke liye ise dharan kiya jata hai.

 

4 mukhi Rudraksh : brain disorder, hatho se sambandhit rogo, mansik durbalta tatha budh grah ke karan utpann samasya ke nivaran ke liye ise dharan karen.

 

5 mukhi Rudraksh : blood pressur, kidny problem, prostet gland problem, tatha brahaspati grah ke liye ise dharan kiya jata hai.

 

6 mukhi Rudraksh : skin related, nirbalta, pathri, tatha shukra grah ki samasya ke liye ise dharan kare.

7 mukhi Rudraksh :haddiyon ke dard, kamar ka dard, kisi purani bimari tatha shani grah ki anukulta ke liye ise dharan karen.

8 mukhi Rudraksh : nidra rogo se mukti, netra rogo se mukti, rahu grah ki anukulta ke liye ise dharan kare.

9 mukhi Rudraksh :ketu grah ki anukulta , body pain ke liye ise dharan karen.

10 mukhi Rudraksh :sugar problem, bahri badha tatha guru grah ki anukulta ke liye ise dharan kare

11 mukhi Rudraksh :nerves system ki bimari, dipretion, santan sukh ke liye ise dharan karen.

 

12 mukhi Rudraksh :jinki haddiyon me jaldi jaldi problem aati ho to ise dharan karne se samasya ka samadhan hota hai.

 

13 mukhi Rudraksh :sir dard ,mansik peeda ke liye

14 mukhi Rudraksh mansik bal ki poorn roop se vraddhi ke liye ise dharan kare.

agle messeges me inke bhaoutik va adhyatmik chamatkarik prabhavon ka varnan karunga .

Aap ka hi

 

****ARIF****

Link to comment
Share on other sites

  • 2 weeks later...
  • 5 years later...

Join the conversation

You are posting as a guest. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.

Guest
Reply to this topic...

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
×
×
  • Create New...