Guest guest Posted November 29, 2008 Report Share Posted November 29, 2008 Dear all, Jai gurudev, Guru..... aha ! kaisi madhur anubhuti hoti hai is shabd ko sunne aur mahsoos karne me. Hamare antar me vyapt andhkaar ko mitakar prakash karne wala , satya ka sakshat karane wale ..... , jeevan ka uddeshya pana tab tak kathin hai jab tak ki iske raste ko apne haatho se saaf kar hamara marg prasast karne wale sadgurudev ne hamara haath na thama ho. Kya Guru ki stuti shabdo se ki ja sakti hai? Nahi na...... Guru ke kaaryon ko gati tabhi di ja sakti hai , jab ham unki hi chaitanyta se aplavit ho , suvasit ho hamari aatma unke hi gyan ki sugandh se.... Yu to guru sadhna ke vibhinn paksh hain jo hamare jivan ke sabhi chitron ko rangeen banate hain. Par vartmaan me jab samay aur sthan ke abhav me hamara shashrir guru se milna sambhav nahi ho pata . aur na hi aasamn ho pata hai pratyaksh marg- darshan le pana . tab to ek matr sadhna hi wo upay rah jati hai jiske dwara ham apni pragya ko sadguru ki shakti se jodte hain aur prapt karte hain us kshamta ko jiske dwra vastutah ham sadguru ke us maun ko bhi samajh pate hain jo ki abujh paheli banker hamare samne varshon se khada hai. Mere bhaiyon us maun ko sach me aaj samajhne ki jaroorat hai kyunki na jane hamare dwara diye gaye kitne vishad ka jahar sadguru ko chup chap peena padta hai . us maun ko samajhne wali bhasha ka abhav hi hame abodh banakar rakhe huye hai . (bhale hi ham apne apko guru ke samne abodh mante rahen) kya is abodhta ki aadh me ham hamari akarmanyta , aalasya, aur sab kuch guru ke upar hi daal dene ki aadat ke shikar nahi hain ... sochiye?........ Sadguru ne hamesha se hame chetna dene ka hi kary kiya hai ..ab yeh alag baat hai ki ham hi aankh moond kar baithe rahe... Yadi us divya chetna kop rapt karma hai. Sadgurudev ke gyan ko atmsaat karna hai to kisi anya mantra ki tulna me guru charno aur guru mantra ka hi sambal lena kahi shreshta aur pramanik upaay hai.. Prastut Guru Padambuj kalp usi divvy chetna ko pane aur uske maadhyam se swayam chaitanya banne ki hi sadhna hai . aur iska prabhav to tabhi aap samajh sakte hain jab aap is sadhna ko karenge. Is sadhna ke prabhav swaroop is brahmaand ke goodh rahasya khud hi khulte chale jate hain aur aap bhi shishyatva ke sadguno se yukt hote chale jate ho....... Kisi bhi Thursday se is sadhna ko kiya jata hai . yadi guru pushya ho to shreshtha hai anytha mahendra kaal me is sadhna ka prarambh kare . sudh wa shwet vastra pahankar safed aasan par uttar ki or muh karke baithe . Samne bajot par safed vastra bichhakar us par pushp rakh kar us par guru paduka sthapit karen . panchopchar poojan Karen . ghee ka Deepak jalayen aur sfatik mala se 51 mala jap karen. Yahi kram 10 dino tak rahega . mantra jap ke baad guru aarti Karen. Mantra: OM PARAM TATVAY AATM CHAITANYAI NARAYNAY GURUBHYO NAMAH Is sadhna ko karke hi aap samajh payenge ki kaise jeevan badal jata hai ,aur safalta kaise aapka varan karne ko aatur hoti hai . jaise hi hamari chetna guru chetna se judti hai . To aaiye aur soubhagya ko jeevan me pravesh dijiye......... Aapka hi ****ARIF**** Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Recommended Posts
Join the conversation
You are posting as a guest. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.