Jump to content
IndiaDivine.org

paarad ki mahatta

Rate this topic


Guest guest

Recommended Posts

Dear all , Jai gurudev, Sadgurudev kahte hain ki ve log dhany hain jinhone jeevan me paarad ke darshan kiye ho aur jo paardeshwar ki sadhna me rat ho. Kyunki paardeshwar aur paarad lakshmi ke maadhyam se hi jeevan ki we unchaiyan hame prapt hoti hain jinki chahat hame hoti hai. Paarad shivling sansaar ka durlabh shivling hota hai yadi us divvy va shubhr pravahit paarad ko swarn graas dekar bhavy va aabadh banaya jaye . aur yeh graas dene ki kriya 32 baar honi chahiye . kyunki aisa swarn graas diya paarad hi jeevan me bhaoutikta aur adhyatmikta ka samavesh karta hai. Yaha par sadgurudev ne bahut hi vishesh baat kahi hai ki swarn graas ke bagair paarad poornta de hi nahi sakta . phir chahe us nirbeej (bina graas liye huye) ka aap shivling ya paardeshwari banao ya phir use bhasm karo kyunki shastra kahta hai ki nirbeej paarad ko bhasm karne wala narak gami hota hai wo shiv hatya ka doshi hota hai. Aur yeh grass dene ki kriya vijay kaal se prarambh honi chahiye. Tatha jaha par paarad shivling sthapit ho ya nirmaanit ho raha ho waha par aagney kon me paardeshwari sthapit

hona chahiye. Bhagwaan shiv ke divvy 32 roopo ko tabhi aabadhikaran kiya ja sakta hai jab unke pratyek roop ke jap dwara graas diya jaye. Isi prakar heerak graas bhi 32 baar lakshmi ke 32 roopon ki sthapna ke liye diya jata hai aur yeh poorn prakriya 16 ghanto me hoti hai pratyek ghante me 2 baar shiv chaitany hote hain aur do baar lakshmi. Is prakar jo paarad prapt hota hai usse nirmanit vigrah adviytiy hota hai poornta dayak hota hai aur aise hi shivling aur lakshmi par ki gayee sadhna phalibhoot hoti hi hai . vaise bhi jo log dukaan se paarad ke vigrah kharid kar sthapit karte hain unhe koi anukulta isi liye nahi milti kyunki jab paarad asht samsakaar ke baad bubhukshit hota hai to use bhojan dena anivary hai , aap khud hi sochiye ki jo khud bhukha ho wo aap ko tripti kaise de sakta hai. Aur doosri baat dukano par milne wale vigrah paarad se nahi balki sise se ya jaste se nirmit hote hain jinme naam matr ka paarad hota hai , na unme chetna hoti hai na hi koi samskaar. Ab wo aapko poornta kaise de sakte hain. Yeh jeevan ka saubhagy hota hai ki jeevit

guru se in vigrahon ko prapt kar apne ghar me sthapit Karen aur aishwary va sadhnatmak star ki uchchta ki prapti kare jo hoti hi hai. In 64 divy lakshmi- shiv roopon ke alava unme 4 aur vishisht shiv roopon ki bhi sthapna hoti hai. Is prakar 64 tantron ki divvy shaktiyon se yeh vigrah samyukt ho jate hain. Yadi in prakriyaon se yukt paardeshwar aur paardeshwari ghar me sthapit ho tab kaisa bhi bura grah prabhav, tantra prabhav, poorv janmkrit doshon se sadfhak ko mukti milti hai.

Aur aisa vigrah hi aapko wo anukulta aur poornta deta hai jaisa ki aap chahte hain. Aisi paardeshwari hi aagney kon me swarnavati bankar sthapit hoti hai aur khushiyon ki bearish karti hain. Aise paarad shivling par hi shaiv guru sadhna , poorv janm darshan sadhna ,tatha sapt lok bhedan sadhana hoti hai jo ki sadgurudev dwara vishv ki shresht dikshayen me bhi di huyee hai. Ek mahatvpoorn baat yaad rakhiye , aise vigrah poorn shubhr aur daidipymaan hote hain jo sammohan kshamta aur divvy tej se aapko aplavit kar dete hain , to aaiye aur sadgurudev se in vigrahon ko prapt kar jeevan ko safal banayen.

Aap ka hi

 

****ARIF****

 

 

 

Add more friends to your messenger and enjoy! Invite them now.

Link to comment
Share on other sites

Join the conversation

You are posting as a guest. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.

Guest
Reply to this topic...

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
×
×
  • Create New...