Jump to content
IndiaDivine.org

divy tatv paarad

Rate this topic


Guest guest

Recommended Posts

Dear all,

Jai gurudev, Praachin Bharat ki samriddhi ka aadhar paarad tha . dhatu parivartan ki prakriya me nipun hamare purvajon ne is desh ko sone se saja diya tha , iska matlab yeh nahi ki aisa unhone sirf loh siddhi se aisa kiya tha balki kai divy sadhnaaon se unhone shri aur sampannta ko baandh kar rakha tha jisse unke jivan me kisi bhi prakar ki neunta nahi thi , yeh alag baat hai ki hamne apne poorvajon ki thati ko sambhal kar nahi rakha varna aaj hamari aisi durdasha to kam se kam nahi hoti. Sampoorn brahmaand me paarad hi ekmatr tatv hai jiske dwara moksh aur aishwary dono hi paye ja sakte hain. Isi vidya ke dwara kalyug me bhi jagat guru aady shankrachary ne swarn varsha karva kar dikhaya tha . unke gurudev shri govind padacharya ka paarad va loh siddhi par likha ras hriday tantra granth vikhyaat hai .jisme di gayee kriyaye aaj bhi utni hi saty hain jitni tab rahi hongi. Paarad bandhan ki divy kriya ka mantr sadhna dwara yog karke kai adbhut parinaam prapt kiye ja sakte hain . sadgurudev ne bataya hai ki yadi sadhna sthal ke ishaan kon me yadi chaitany aur vijay kaal me nirmit pardeshwar aur aagney kon me yadi rajas mantron se samputit parad lakshmi ki sthapna yadi ki jaye to parad lakshmi ka swaroop swarnawati me badal jata hai . aur tab sadhak ko jis aishwary ki prapti hoti hai uska varnan sahaj nahi hai . puratan kaal ki usi parampara ko sadgurudev ne aaj bhi jivit rakha rakha hai . kaun sa aisa gyan raha jo ki unhone shishyon ko na diya ho. Paarad ke sarvopari hone ka mahatv poorn kaaran tha uska aatm swaroop hona , uska divy hona. Jab ham paarad ka shuddhi karan karte hain to hamara bhi shuddhikaran hota hai , paarad ki chanchalta ke saath hamari chanchalta bhi aabadh hoti jati hai .aap khud hi soche ki yadi asimit shakti shali paarad aur aisi hi shakti se paripoorn hamare man par hamara niyantran ho jaye . unki chanchalta hamare kabu me aa jaye to phir kya asambhav hai hamare liye. Kyunki sabhi siddhiyon ka mool to chit ki ekagrta hi hai na. Divy vanaspatiyon ka samskaar aur mantron ka yog paarad ke saath aapko bhi chaitanyta de jata hai . yahi kaaran hai ki jab ham aise divy paarad vigrahon ko ghar me sthapit karte hain to swatah hi sakaratmak urja , aakarshan , tej se hamara vyaktitv bhi bharta chala jata hai , aur isme koi atishyokti bhi nahi hai . kyunki yadi aapne swarn tantram padhi hogi to sadgurudev ne bataya hai ki aath samskaron se yukt paarad se bani gutika sabhi tantron ke prabhavon ko door kar ke vashikaran chhamta deti hai.

Jag vikhyaat hai ki yadi vyakti brahm hatya ka bhi doshi ho ya kaise bhi paap usne kiye ho tab bhi paarad ka sparsh , darshan va poojan sabhi dosho se mukt kar deta hai. aap ka hi

 

****ARIF****

Link to comment
Share on other sites

Join the conversation

You are posting as a guest. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.

Guest
Reply to this topic...

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
×
×
  • Create New...