Guest guest Posted December 13, 2008 Report Share Posted December 13, 2008 Dear all, Jai gurudev, Pichhle lekh me sharirik rogo par rudraksh ke prabhavon ke bare me aap sabhi ne padha tha . sad gurudev ne shiv sadhna aur siddhi aur gopniy durlabh mantro ke rahasy granth me rudraksh ke upar bahut kuchh bataya hai. Sath hi shiviron me bhi unhone Rudraksh ke gudh rahasyon ke bare me samjhaya hai. In Rudrakshon ke prayogo ka phalli bhoot hona inke asli hone tatha inke chaitanya va praan pratisthit hone par nirbhar hai . iske liye gurudham se aap sampark kare. aap sabhi inka labh uthayen aur anya gurubhaiyon ko bhi is gyan se avgat karayen.... Jis prakar Rudraksh ka prabhav sharirik rogo par hota hai . jaise yadi kisi ko sir ka dard ho raha ho aur lagatar medicine lene par bhi rahat na ho to tab pach muchi rudraksh ko pani ke sath patthar par ghis kar yadi sir par lagaya jaye to nischit hi dard ka nivaran hota hai. Aise hi bhautik va adhyatmik labh ki prapti bhi Rudraksh ke dwara hoti hai. Ek mukhi rudraksh bhoutik va adhyatmik pragati ka sabse bada karak hota hai . yeh durlabh to hai par yadi kisi bhagyvaan ko yeh prapt ho jaye to is rudraksh par atyant hi gopniy lakshmi aabadh prayog kiya ja sakta hai . ise dharan karne wale ke sabhi manorath swatah poore hote rahte hain. Do mukhi rudraksh apne aap me hi adbhut hai . ise dharan karne wale sadhak ko jaha mukadme me safalta milti hai wahi soumya sadhna me safalta sahaj ho jati hai . yadi bagla mukhi mantra se ise siddh kiya jaye to shatru badha ka nivaran hota hai . dhyan ki gahanta ise dharan karne se prapt hoti hai. Teen mukhi Rudraksh jaha par tridev ka pratik hai , wahi trishakti sadhna aur trikaal ka gyan ise dharan karne se hota hai . maa bhagvati ki kripa se jeevan aaplavit ho jata hai . agya chakra ka jagran aur manah shakti ki sadhnayen sahaj ho jati hai . Chaar mukhi rudraksh jeevan me charo purusharthon ki prapti sahaj kar deta hai. Ise dharan karne wale sadhak ko swatah hi labh prapti ke upay gyat hone lagte hain. Jin jatakon ko man bhramit hone ki shikayat hoti hai unhe chitt ekagr karne me sahayta milti hai . maa Gayatri ki sadhna ke suphalon ki prapti hoti hai tatha adhyatmik tej badhta hai. Paanch mukhi Rudraksh kalagni ka pratik hai , sury sadhna , tratak siddhi , sammohan me safalta tatha lakshmi sadhna me safalta prapt hoti hai . lakshmi sadhna ke prayog to aap Lakshmi prapti namak kitab me dekh sakte hain. Cheh mukhi Rudraksh ko dharan karne se tivr sadhnaon me bhay ka nirmoolan hota hai . stanbhan prayog , tantra badha me neunta aati hai . smaran shakti tivr hoti hai. Pratiyogi pariksha me safalta ki raah prashast hoti hai. Saat mukhi Rudraksh ko dharan karne se vyavsayik safalta , kundlini jagran me anukulta tatha grah badha me neunta aati hai. Yadi ise Saturday ko dharan kiya jaye to akasmat dhan prapti ki sambhavna badhti hain. Anya Rudrakshon ke vishay me agle mail me…. aapka hi ****ARIF**** Add more friends to your messenger and enjoy! Invite them now. Add more friends to your messenger and enjoy! Invite them now. Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Recommended Posts
Join the conversation
You are posting as a guest. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.