Guest guest Posted December 5, 2008 Report Share Posted December 5, 2008 Dear all, Jai gurudev, Bahut se bhaiyon ka mail group me is baat ke liye aaya tha ki apsara aur yakshini sadhna kaise ki jaye ya inme kya antar hai . Koi bhi sadhna saumya hai ya ugra ye is par nirbhar karta hai ki aap us sadhna ke liye kis prakar ka dhyan karte hain, dhyan ke teen prakar hote hain aur unhi prakaro se sambandhit dei ya dev ka prataykshikaran bhi usi roop me hota hai Satvik dhyan Rajsi dhyan Tamsik dhyan Inme se tamsik dhyan ka prayog jyadatar ugra sadhnaon me ya shamshan sadhna ke liye kiya jata hai . jisse shakti ugra karyon ko tivra gati se kar sake par yeh har kisi ke bas ki baat nahi hai. Aur vaise bhi sad gurudev ne patrika aur shiviron me wahi sadhnayen pradan ki hain jo ki ghar par ki ja sake matlab satvik ya rajsi dhyan yukt. Bahut kam aur kabhi kabhi hi kisi khas stithi me ugra sadhna ko pradan kiya hai. Is liye ek baat to tay hai ki jab patrika ya shivir me koi apsara ya yakshini sadhna batayee jati hai to to vo hanikarak nahi hoti hai . yadi koi mahatvpoorn bindu dhyan me rakhne hote hain to unhe jaroor bataya jata hai. Apsara jaha dev varg ki aur gour varniy shakti hain , vahi yakshini yaksh varg ki aur kuchh dabe huye rang ki shakti hain. Samanya roop se apsara ka pratyaksikaran kathin hai yadi kuchh mudraon ka pradarshan na kiya jaye to , wahi kuber sadhna aur mahamrityunjay sadhna karne walo ke liye yakshini sadhna easy rahti hai. Par chahe apsara ho ya yakshini dono hi sadhna me kaam bhav ka prayog hani karak hi hai. Apsara sadhna aur Yakshini sadhna me kuchh mudraon ka prayog kiya jata hai jisse safalta prapt hoti hai. In mudraon ka varnan aap mantra rahasya me dekh sakte hain ya sadgurudev se prarthna kar gyat kar sakte hain . in mudraon ke saath prayukt mantra nimn hain (yeh mantra sirf jankari ke liye hain inki vistrit janakari aur prayog karne ka tarika aap sadgurudev se le len vaise bhi yadi sadgurudev se apsara ya yakshini nischit siddhi diksha le len to in krityon ki jaroorat hi nahi rahti ......) : Dono hatho ko sanyukt kar kamlavart yog se aavahan mudra ke prayog se apsara ka vashikaran hota hai. Tatkshanaat sarvapsara agachchha gachchh hu yah yah Abhimukhikaran mudra dwara – Om kaampriyaye swaha Krodh mudra dwara – Om hreem akattah kattah hroom vah phat Vesthit - om sabandh sabandh stanu hum phat Apsara vasikaran mudra – om chal chal vashmanay hum phat In sare mantron mudraon ki jankari aap sadgurudev se prapt kake va in mantron ke prayog ki agya lekar nischay hi apsara va yakshini sadhna ko siddh kar sakte hain. Sad gurudev to sab kuchh dene wale hain ab ham hi na le to galti kiski.... Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Recommended Posts
Join the conversation
You are posting as a guest. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.