Jump to content
IndiaDivine.org

great books of alchemy

Rate this topic


Guest guest

Recommended Posts

Dear all,

Jai gurudev,

Paarad tantr brahmand ka sarv shreshtha tantr hai isme koi do mat nahi hai. Aisa main is liye nahi kah raha hoon ki main khud ras shastr ka abhyas karta hoon balki is liye main aisa kah raha hoon kyunki yeh ek matr wo tantr hai jiske dwara srijan , paalan aur sanhaar ki kriya sampan hoti hai. Sadgurudev kahte hain ki 64 tantron me yah sabse mahatvpoorn aur antim tantr hai matlab is tantr tak pahuchne ke liye aapko sari chunoutiyaa paar karni padti hain, apne aapko sabit karma padta hai , aur yadi is baat ko galat mante hain to bataiye ki aaj aise kitne log hain jo pramaanik roop se 18 samskaar karke dikha sakte hain.

 

Sadgurudev ki virat mahima ka ek pahlu yeh bhi raha hai ki unhone sabse pahle samaaj ke samne un 108 samskaaro ke vishay me bataya jinke vishay me kabhi logo ne suna bhi nahi tha. Aakhir aisa kyun tha? Iski vajah yeh rahi hai ki paarad 8 samskaar ke baad shakti vaan hokar aapko bhaoutik aur shaaririk uplabdhiyaan deta hai , yeh to theek hai par 18 ke abaad to vo viprit kriya karne lagta hai aur use sambhalna aur niyantran me rakhna bahut kathin kaary ya ye kahe ki lagbhag asambhav hi ho jata hai . yadi ise niyantrit kar liya jaye to saadhak ko brahmaand ke we rahasy uplabdh ho jate hain jinke vishay me shayad kalpna bhi nahi ki ja sakti.

 

Sadgurudev ne swarn tantram me kaha hai ki yadi mujhe 2-4 shishy bhi mil jaye to main bharat ko uska arthik gaurav punah dila sakta hoon, saath hi saath un grantho ko bhi phir se samaj ke saamne rakha ja sake jo paarad jagat ke durlabh granth hain.

 

Ras shastr ka addhyan karne wale sadhako ke liye yeh granth anivaary hain kyunki yeh saare granth na sirf pramaanik hain balki kaalaatit bhi hain.

 

In granthon me varnit kriyayen sadhakon ko vismit kar deti hain . alag alag samprdaay ki gupt kriyaon ko samajhna aur kriyatmak roop se karne ka anand hi aur hai. Videshon me log ras tantr ko sirf darshan shastr tak hi rakhe huye hain par hamare yaha inka kai baar pramanik roop se digdarshan bhi karaya hai. Yeh granth hain:

 

Swarn tantram

 

Swarn siddhi

 

Swarn tantram (parshuraam )

 

Aanand kand

 

Rasarnav

 

Ras ratnaakar – Nity naath

 

Ras ratnaakar – Nagarjun

 

Ras hriday tantr

 

Ras saar

 

Ras kamdhenu (loh paad)

 

Gorakh sanhitaa (bhooti prakran)

 

Vajrodan

 

Shailodak kalp

 

Kaak chandishwari

 

Rasendra mangal

 

Rasopnishat

 

Ras chinta mani

 

Ras chuda mani

 

Rasendr chintamani

 

Rasendra chudamani

 

Ras sanket kalika

 

Ras paddti

 

Rodrayamal

 

Loh sarvasva

 

Rasendra saar

 

Aur bhi anek granth hain jinhe prapt kar addhyan karma hi chahiye kyunki jab aap inka addhyan karenge tabhi aap hamari gauravshali paramparaa ke moolyon ko samajh payenge. urs

 

****ARIF****

Unlimited freedom, unlimited storage. Get it now

Link to comment
Share on other sites

Join the conversation

You are posting as a guest. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.

Guest
Reply to this topic...

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
×
×
  • Create New...