Guest guest Posted March 24, 2009 Report Share Posted March 24, 2009 jai gurudev muje kripya doomavati sadhana karni hai aur appse binti hai ki app apaana jeanubhav muje batye aur muje guide kare ke kay bate dhayan me rakhni hai i am going to start soon. plz share u r experience. thnx' rakesh soni--- On Wed, 18/3/09, Swastik Kumar <swastikpranav wrote: Swastik Kumar <swastikpranavRe: Apsara Sadhana ke Gupt/Mahtavapooran Sutra"nikhilanand nikhil" <nikhilanand05Cc: Date: Wednesday, 18 March, 2009, 4:11 PM Gurudevebhao namah. Bhai Nikhil Yeh prashan main aaj se karib 15 saal pehle apne Gurudev se poocha karta tha Maine do saal urvashi sadhana kari thi. Vichitr anubhav pratap karta raha. Kabhi aasan panni se bhig jata. kabhi uski chanchal aur madhak khushbu se madhosh ho jata. swapan me bhi apsara dhikhai de rahi thi. parantu pratakshikaran nahi ho raha tha aur pratakshikaran hi purn sidhi mani jati hai kyunki jab tak aap usse vachan nahi lete tab tak woh apke bhulaney par hazir nahi hogi. Ek baat aut hai agar aap ne partaksh sidhi kar li to apsara apko aage ki tantra sadhnayon ke bare me bhi marg darshan dege. parantu inke roop jaal me na banday kabi bhi ise patni roop me vachanbadh na karey. blki adhin karke inse kaam leve. Har sadhana se sambandit kuch gupt sutr/kunjayain hoti hain jinka samuchit prayog kare par hi prattakshikarn sambhav hai. yeh Gurugamya hain.. Guru satpatr jankar hi inhe pradhan karte hain. Apka param sobhaigya hai ki apko Shrimaliji ka shishavat prapat hua. Mere gurudev ne bataya tha ki Shrimali ji atyant Durlabh vidhayon ke gyata hain jinke jankar mere gurudev ke anusar 1960 ke dashak me keval 4 sidh the. Shrimali ji, Viresh Mishra (Laxmivan me tapsaya rat the), Avdhootanand (swaragvas ho gaya), Anand Parashar (Parashar Math, Uttarkashi). Inme bhi Surya vigyan, Maha Damri Sadhana, Parad Vigyan kewal Shrimali ji ko gyat tha. Swastik--- On Wed, 3/18/09, nikhilanand nikhil <nikhilanand05@ > wrote: nikhilanand nikhil <nikhilanand05@ >Re: Apsara Sadhana ke Gupt/Mahtavapooran Sutraswastikpranav@ Wednesday, March 18, 2009, 10:12 AM Jai Gurudev Swastik bhai plz do kindly share more your knowledge about Apsara sadhna as i also been doing this divine sadhna since thre yrs but still could not yield the siddhi, can you kindly through more light on the hidden aspect of this sadhna how to please the Apsara to become visible. It will be beneficail for all sadhaks pertaining to do this sadhna. hoping to hear from you regards Nikhilanand--- On Sat, 7/3/09, Swastik Kumar <swastikpranav@ > wrote: Swastik Kumar <swastikpranav@ > Apsara Sadhana ke Gupt/Mahtavapooran Sutra@ s.comSaturday, 7 March, 2009, 3:44 PM Samasat Bhoot pranion me atama roop me nivas karaney valey Parmeshwar avam Sadgurudev ko Pranam. Mera Parichay keval itna hai ke main ek samarth Guru ka Shishya hoon. Jo Paramadaraniyan pratasamarniyan Shriyut Shrimali ji ke param mitra rahain hain. Gurudev se pratap Apsara Sadhana ke kuch gupt rahasyon ko jo swayam mere anubhav me aye aap sabhi bhaiyon se share karna chahta hoon. Inke dwara sadhana me safalta ki sambhavana shat pratishat rahete hai. Apsara sadhana ke liye sabse vishist sthan hai Srinagar (Uttranchal) vahan Ganga Kinare (Mandakini - Apsararo ka vicharan sthal) bath kar kuch samay jaap se hi apsarao ki upasthiti ka abas vah divya sugandey anay lagti hai. Iske alawa Srinagar se thoda aage janglaon me ek patharon ke bicth ek chidra hai. Tantrik batatan hain ki vah apsara lok ka dwar hai. Agar us chidra me haath dala jaye to hath kisi komalangi dwara pakar liya jata hai, agar hath bahar khicha jaye to vah chor dege. Andhar janknay par kuch bhi dhikhai nahi dega. Yeh sthan atayant gupt hai . Kewal kuch Tantrik vah sanyasi iske bare me jantey hai. Swastik New Email names for you! Get the Email name you've always wanted on the new @ymail and @rocketmail.Hurry before someone else does! Add more friends to your messenger and enjoy! Invite them now. Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Recommended Posts
Join the conversation
You are posting as a guest. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.