Guest guest Posted May 1, 2009 Report Share Posted May 1, 2009 Jai Gurudev, Jeevan ke chaaro purusharth me arth ki bhoomika puritan kaal se mahatvpoorna rahi hai. Main yaha bas yahi kahna chah raha hoon ki dhan ki bhoomika manav jeevan me sabhi kaalo me maanya rahi hai. Chahe iske dwara aishvarya prapti ki baat ho ,ya sukhon ke upbhog ki .ya phir samaaj me apna varchasv banane ki. Aur is baat ko hamare rishiyon ne bahut pahle hi samajh liya tha aur unhone apne tantra bal aur yog-bal ke dwara brahmaand se dhan prapti ke liye vibhinn sadhnaon ka gyan prapt kiya . unke dwara jyamitiy roop me un shaktiyon ka bandhan yantron ke roop me apna manorath siddh karne ke liye kiya gaya. Vaise to jeevan ke pratyek pakshon ko sabalta pradaan karne ke liye vibhinn yantron ka prachlan sadhak samaaj me hai. Par jaha baat dhan aur shree ki prapti ke liye ki ja rahi ho vaha barbas hi logon ka dhyan shriyantra ki or chala hi jata hai.akhir jaye bhi kyun na, shriyantra ke dwara jo unnati hoti hai wo sthaayee bhi hoti hai aur dharm sammat bhi .par sirf shri prapt karma hi to sab kuchh nahi hai na…………. Uchh koti ke tantrik is baat ko bhi bhali bhanti jante the ki aishwarya to ho par wo shatru,rajya-badha( mukadma aadi) ,tatha rogon se bhi mukt hona chahiye na…….. Aur is ke liye ek aparaajey prahari aur rakshak ke roop me bhala bhagwaan bhairav se behtar kaun ho sakta hai .bhale hi log bhairav ko ugra mante hon ,par kam logo ko hi ye baate pata hogi ki bhairav ke sarvadhik vardayak aur poorn abhay yukt aishvarya dene vala roop swarnakarshan bhairav hai,jinki sadhna puritan kaal se hi sadhakon se sadhakon ke Madhya hi chali aa rahi hai ,is liye aaj bhi ye sadhna apne mool roop me surakshit hai .ye sadhak jeevan ka saubhagya hi hota hai ki aisi divya sadhna use prapt ho ,aur ,SadGurudev ne shishyon ko kisi bhi saubhagya se vanchit nahi kiya .unhone ek poora shivir hi Swarnakarshan Bhairav ke upar lagaya tha,aur un rahasyon ko vivechit va prakat kiya tha jo durlabh va samanya roop se agamya hain. Usi dauraan unhone bataya tha ki yadi kisi kaaranvash koi is sadhna ko nahi bhi kar pata hai tab bhi yadi vo matr Swarnakarshan Bhairav Yantra ki sthapna hi apne sadhnakaksh .pooja-sthal ya phir vyaparik pratishthaan par kar leta hai tab bhi vo poorna labh prapt kar leta hai . unhone is yantra ke rahasyon ki gutthi ko kholte huye bataya tha ki ye yantra ek adwiytiya yantra hai,jiske pratyek akshar-varn aur bindu ka mahatva hai. Iske chaar bhago me 4 panchdashi yantra ankit hote hain( pratyek disha me alag-alag varno kekram se panchdashi yantra ankit hota hai) jo is baat ka pratik hain ki sadhak ko samast vishva ki sampada ek sthan se nahi apitu charon dishaon se prapt hogi,koi badha,koi shatru uske uddeshya me badhak nahi ho sakte. Charon kono me shreem roopi maha lakshmi ka beej ankit hai ,jo dhan ko akhandta pradan karta hai. Upar aur neeche milakar charo kono me om ka ankan poornta,shreshtta aur safalta ka soochak hai.jisse bhog aur moksh ek sath sahaj prapt hai..bhaotik drishti se 16 uplabdhi prapt hoti hai dhan,dhaanya,bhoomi,uttam bhavan,samaajik keerti, poorna-aayu,akhand yash,maansik shanty, vaahan,putr,pautra,rajya-unnati,uttam swasthya,nirantar pragati,nishchit safalta,jeevan me poornta. Aadhyatmik drishti se bhi 16 uplabdhiyan prapt hoti hai.prem,daya,sneh,apnatv,mamatv,dravit hriday,mansik shanty,akhand-samaadhi,gyaan,chintan, kundli jagran, akaatm-bhaav, ishvar-darshan,tatasthta,aatm-sanyam,vasudhaiv-kutumbkam bhaav ki prapti. Yehi 32 kalaayen hain jinse paripoorna manushya poorna guno yukt kahlata hai.yantra ke Madhya me vratt aur uske beech me chaukor phir punah vratt ka taatparya poore brahmaand me nihit shaktiyon ko apne me samahit kar siddh hone ka bhaav hai. Inme ankit akshar samast brahmaand ko avlokit karne ka bhaav hai ya doosre shabdon me samast chakron ka bhedan kar sahstraar prapt karne ki kriya hai. Madhya sthaan se chaaron taraf nikle trishool vishva ki raksha aur aatm-bal dwara vishva kalyaan ki bhavnaa se sangumphit hai. Is prakaar ye yantraaatma ko parmaatma me vileen karne tatha brahmaand ki siddhiyon ko samahit karne ki kriya hai.iske prayog dwara saadhak mitti ke dhele ko bhi swarna me parivartit kar atulniya sampadaa ka swami ban sakta hai . Tatkaalik labh ke liye inka sthaapan kar apni manokaamna ki poorti ke liye kaarya anusaar bhagwaan bhairav ka satvik,raajsik ya taamsik dhyaan ka nitya 11 baar uchchaaran hi paryaapt rahta hai…. Saatvik dhyaan se-akaal-mrityu yog ka naash,aayu-vriddhi, aarogya tatha mukti prapti Raajsik dhyaan se-dharm,kaamnaon ki poorti,aarthik safalta. Taamsik dhyaan se-shatru krit abhichaar ka nivaran,shatruon par vijay mukadme me safalta.bhoot-pret badha se mukti aur siddhi/ Isi prakaar jo apne jivan me vyavsaay ya job me lagataar unnati chahte hain ,ve yadi 5-11 baar is yantra ke samne Kanak-Dhara stotra ka path yadi karte hain to hone wale parivartan ko ati shighra swayam hi dekh kar aashcharya chakit rah jayenge. Jin sadhako ko paarad vigyan me safalta paani hai unhe to yeh sadhna karni hi chahiye. Baat sirf padhne ki nahi apitu apnakar dekhne ki hai anyatha……. Apni kundli dekh kar apne bhaagya par rone ke alava koi upaay nahi rah jayega. Vaise bhi samasyaon ki charcha par dhyaan dekar samay bekaar karne se kahi behtar uska samadhaan karna hai,ab marji hai aapki ,aakhir jeevan hai aapka. Aapka hi ****ARIF**** Now surf faster and smarter ! Check out the new Firefox 3 - Edition * Click here! Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Recommended Posts
Join the conversation
You are posting as a guest. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.