Guest guest Posted July 13, 2009 Report Share Posted July 13, 2009 bahot taklif me din bit rahe the. ek ek pal katna mushkil lag raha tha. bhaari man ko tassali milane ke lie itna farman kafi tha ki gurudev ki agna he isi lie bhautikta me rahne he or tabhi achanak shishyanad ka sandesh mila. unhone muje milne kelie do din ka samay diya tha. lambi yatra karne ke baad ,jab me unke nivas sthan pe pahocha to vo ghar pe nahi the. bhabhi ma ne khana parosha or ek maa ki tarah unhone muje khana khilaya. kuchh der bad hi shishyanand ka agaman hua. 6 feet char inch ka lamba kab sugathit jese ki koi devdoot ho. chehre par aabha jo ki tantra or paarad ki prakharta se hi milti he. vo bilkul ek sadgristha lag rahe the shishyanad se me picchlibar tab mila tha jab vo sanyash jivan me the. gurudev ne muje nath tantra diksha dene ke upyukt raghunath nam rakha tha or unki hi agya se me himachal me sadhana kar raha tha. usi dauran meri unse mulakat huyi thi jo ki pichhale janm ki baat he gurudev ki maya ko kon samaj paya he. unhone muje or unhe donoko gruhasthi ke sutra samajane ke lie gruhasthi me janm diya he par unki itni kripa ki ek ek baat aaj bhi yad he shishyanad. jesa naam vesahi charitra raha he unka. gurudev ke har prakashit evam aprakashit granth unke pas viddat he. gurudev se judi har ek bat ki vo jaankari rakhate he. unki agya palan hi unka ek matra dhyey raha he unhone muje kai guhya sutra samajae jo paarad vigyan se sabandhit the. vaha pe unhone muje paarad me se chandi banake bhi dikhaya paara ko namak or bijoura ke ras me kharal karne ke baad, jab ek or vanaspati ke ras me kharal karke thoda chandi ka gras deneke baad unhone mantrik prakritya samppan ki to vo chandi ban gayi thi jo aaj bhi mere paas surakshit he or jise mene apne parichito ko bhi dikhaya he .jo dekhata he chakit rehkar kehta he ki ye to tezabi chandi se bhi achhi chandi he vaha pe me tin din raha us bich mene kai grantho ko padha jinke bare me mere sirf suna hi tha. vaha se vida kon hona chahta tha par jana to tha hi. prasad swarup unhone muje kuchh anupam sadhanae di evam ek utthapan gutika. utthapan gutika ke bareme me kya kahu. ras shastra ke abhyashu achheje jante hi he. gurudev ke ek sachhe sishya ko milke jo tripti huyi vo to baya nahi kar paya or abhibhi nahi kar pa raha hu. kyunki dilke pas labj nahi he or labjo ke paas bhavana nahi he par ek chiz jo reh reh ke dimag me ghumati rehti he vo he is vignan ki sachchai. ek vishwash jo ki dil pe is qadar kayam ho gaya he ki use mitana sayad mumkin nahi shiv ke jitna hi pavitra paarad he or paarad ko jab puri tarahse jan lenge tab nahi ham garib rahenge nahi ham rogi honge jai gurudev raghunath nikhil Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Recommended Posts
Join the conversation
You are posting as a guest. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.