Jump to content
IndiaDivine.org

Saadhna me safalta

Rate this topic


Guest guest

Recommended Posts

Dear all,

Jai Gurudev,

 

Jeevan ka aadhaar hi safalta hai , Bhautik jeevan me aane wali baadhon ko samapt kar jeevan me sukh aur aanand ki prapti hi to hamara dhyeya hai. .ye vishay behad jaruri bhi hai aur aatmik bhi. ham sabhi ne kabhi na kabhi apne jeevan me kuchh pane ke liye ya durbhagya ko samapt karne ke liye Saadhna-yog (Tantra ,Mantra ) ka avashya prayog kiya hoga .par kya sabhi ko safalta mil payee????? kya alag alag mat jaise ki sabar, islamik, jain,saumya,tivra,lakshmi,aghor mantron ko apni apni samarthyata ke anusaar karte huye ham us safalta ke phal jise ki Siddhi Kahte hain ........ ham prapt kar paye!!!!!!!!!!!! apne dil par jab ham haath rakhte hain to uttar yahi aata hai ki ..nahi us star tak nahi pahuch paye... hai na!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!! SHayad aapne in sootron ko kabhi apnaya nahi hai.....

par koi baat nahi nirasha ko alag rakh kar ek baar in sootron ko bhi apna kar dekhiye.Sadgurudev ne to sabhi vidhaan hamare saamne khol kar rakh diya hai ,par hamne hi kabhi dhyan nahi diya hai. maine inhe apnaya hai aur safalta paayee hai.sabhi prakar ki sadhnaon me... aur aap bhi is swad ko chakh sakte hain .

1.sabse pahle prayashchit ki kriya karni chahiye. iske liye ek kagaj par apni bhoolon ko,galtiyon ko, apradh ko likh kar Guruyantra ke neeche rakh dijiye aur Sarv dosh nivarak mantra ka jap 11 din tak nitya 3 mala karen.is dauran 16 mala guru mantra bhi hona avashayak hai.

2. Ek Siddhi phal ko kale tilon ki dheri par sthapit kar us ke saamne "Vam" mantra ki 3 mala karen ye hamare sadhnatmak aur bhaoutik doshon ko samapt karta hi hai sadhna ke baad is phal ko bhi anya samagri ke sath visharjit kar den.

 

3.Nirasha saadhak ki sabse badi dushman hai. atah nirasha bhav ko tyagna hi safalta ki pahli seedhi hoti hai..

 

4. Sadhna kaal me aur uske baad bhi apni KI ja rahi saadhna ka prachar karna aapki safata prapti ki kaamna ko khatm kar sakti hai,is liye apne anubhav Guru ke charnon me hi nivedit karna chahiye aur Saadhna Mantra Guru mukh se lene se aapko uska uchcharan aur safalta ka vardaan dono hi prapt hote hain.

 

5. Guru kavach Sadhna kaal me aane wale vighnon ko aapse door rakhta hai aur aapdaon se kavchit bhi kar deta hai.

 

6.sadhnaon me safalta ke liye Tantra safalya mantra ka prayog karen.

 

7.Tantra me safalta ke liye Mool mantra jap ke pahle aur baad me 5 safalya mudraon ko mool mantra bolte huye pradarshit karna chahiye.

 

8.Sadhna ke pahle aur baad me Guru mantra ki mala honi hi chahiye tatha jo poojan ham sadhna ke pahle karte hain us poojan,viniyog,dhyan ko mool mantrajap ke pahle aur baad me jarur hi karna chahiye.

 

9.Mool mantra ke dwara, Angibhoot nyas kar Sharir ke 24 kendron me mantra ka sthapan kar lena chahiye ,iske baad Prayashchit nyas kar mantra sadhna me hone wali galtiyon ke prabhav ko door karne ki prakriya karna chahiye. iske baad Deepni kriya kar us mantra ko apne liye prabhav kari banana chahiye.ye teeno hi kriyaen mool mantra ke dwara hi hoti hain. iske baad hi mool mantra ka nirdisht sankhya me jap karna chahiye.

10.Sadgurudev se sadhna me safalta ka nivedan karna aur Sarv-Sadhna safalya diksha ek adviytiya upaay hai safalta prapti ke liye. yaha maine jo bhi vivechan diya hai ye gupt kunjiya hi hain jo sahaj prapt nahi hoti par hamara saubhagya hai ki Yug-Purodha Sadgurudev ne hame sahaj hi diya hua hai.

Aap in kriyaon ko apni sadhna me apna kar to dekhiye ,safalta daudti huyee chali aayegi aapki aur.....

Aapka hi

 

****ARIF****

recommends that you upgrade to the new and safer Internet Explorer 8.

Link to comment
Share on other sites

Join the conversation

You are posting as a guest. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.

Guest
Reply to this topic...

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
×
×
  • Create New...