Guest guest Posted October 21, 2009 Report Share Posted October 21, 2009 Dear all, jai gurudev, Kuchh samay pahle hum apas me ayurved ke baare me baten kar rahe the. Sadgurudev ne Apni kai kratiyon me ayurved ke adbhut rahasyon ko bataya hai. yadi ham un granthon ko dhyan poorvak padhenge to ashcharya ke sagar me doobte chale jayenge. Uhi ki kripa aur divya aashirvaad se mujhe un sanyasi aur grahsth shishyon se kuchh gyan is kshetra me pa saka. Ayurveda, Paarad Tantra , Jyotish aur Tantra ek doosre ke poorak hain ,jike dwara ham apna manorath na sirf poora kar sakte hain balki asambhav ko bhi sambhav kiya aja sakta hai , shart yahi hai ki aapka prayatna 100% hona chahiye. Kai saal pahle mujhe Pavagarh me aise hi ek sadhak se mil paya jo hamare Gurubhai bhi the aur unhone Ayurved ke goodhtam rahasyon ko Sadgurudev ke ashirvaad se hastgat bhi kiya tha. unhone abht jankariyan di thi aur prayogik pradarshan bhi is vigyan ka kiya tha. unhone bataya ki kis tarah ayurved ka sadupyog kar ham saundarya ko pa sakte hain, purush aur stri dono hi in upayon ko prayog kar dekhsakte hain aur iska result unhe ashcharya me duba dega...... itna kahakar unhone jo rahasya bataye the, main unme se kuchh yahan par likh raha hoon. 1. JIn logon ke baal kisi kaaran samay se pahle h gir jate hon ya safed ho jate hon aise palit ka nivaran karne ke liye aur poorna kesh prapti ke liye Ghungchi ke phal aur jadko Bhilave tata kateri ke sath sambhag milakar mahin pisen aur shahad milakar lep karen. aap iske prabhav se phir se balon ko pa sate hain aur prabhav dekhkar hatprabh hi rah jayenge. 2.kale chitrak ke phulon ka powder 3 gram nitya gaay ke dood ke sath len. safed baal kale ho jayenge aur ta-umra aise hi rahenge..... 3.Shivlingi ko bhringraj ke sath suryoday se pahle nitya sevan karne se 4 mahine me kayakalp hota hi hai. isme koi sandeh nahi hai. 4.agar kisi purush ya stri ka sharir ya chehra sundar na ho to uske sat logon ka vyavhaar achchha nahi hota hai.yadi apne aap ko sundar banana ho aur poorna kayakalp karna hi ho to use 6-8 mahine tak Punarnava ki jad ka sevan karen, sundarta aapke anga-pratyanga se dihayee dene lagegi. ye ek hi vanaspati aapke tamaam cosmetic upayon se lakh guna prabhavkari ar sthayeetva pradata hai. aage aap Sabhi ko kuchh aur jankari dene ka prayatna karunga. Sadgurudev ki kripa se aisa gyan jab uplabdh ho to phir mayus kyun rahna, hai na........ Aapka hi For more Knowledge:-www.nikhil-alchemy2.blogspot.com ****ARIF**** From cricket scores to your friends. Try the India Homepage! Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Recommended Posts
Join the conversation
You are posting as a guest. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.