Guest guest Posted April 6, 2009 Report Share Posted April 6, 2009 Jai Gurudev Shamshaan sadhna ke bare me batate huye Sadgurudev ne kaha tha ki shamshaan sadhna tuchh ya hey sadhna nahi hai ye to jeevan me vyakti ko asht pashon se mukt karne wali sadhna hai .aur shamshaan me sadhna kar vyakti bhay se rahit ho jata hai aur use aisi drinta mil jati hai ,jisse ki vah saare vishv me kahi par bhi nirdwand bhraman kar sakta hai ,bhoot-pret uske gulam ho jate hai ,jinke madhyam se vyakti sansaar ka koi bhi karya kar sakta hai . ye alag baat hai ki sadharan ya kamjor aatm bal wale sadhak aisi sadhnaon me baithne ke paatr nahi hote. Jab sadhak apne isht ke pratayksh sakshatkar ka sankalp le leta hai to use is sadhna ka avlamban lena hi padta hai. Tantra me bhay se bhaga nahi jata aur na hi use dabaya jata hai balki useswikar kar us par vijay payee jati hai .yaad rakhiye yadi aap shamshaan me ek baar bhi poorn rupen sadhna kar lete hain to kaam,bhay,jugupsa.ghrina.moh,bhay apne aap hi aapke samne paraast ho jate hain . jeevan ki nissarta ka bodh aur aatmgyan ka anubhav is sadhna ke baad hi hota hai aur tantra ke 5 peethon me se ye ek anivary peeth hai .prakarantar se shyama sadhna ka ye poorvabhyaas hi hai ,jiske baad hi guru aapko tantra ke goodh rahasyon ki chabi pradan karta hai .to kyun na guru aagya se is sadhna ko sampan kar apne sadgurudev ke gaurav pataka ko ham aur uchaiyon par lahraaye.haan ek baat avashya dhyan me rakhen ki is sadhna ko guru nirdeshan me hi karma chahiye. Shamshan ke prakaar – Shamshaan 10 prakar ke hote hain safeda,yamdand,sukiya,fuliya,haldia,kamedia,kikdiaa,michmichiya,silsiliya,piliya, ye 10 naam un 10 shaktishali pretshaktiyon ke hain jo ki shamshaan sadhna ke samay aapke ugra mantron ko apni shakti sejagrat karte hai. Inhi prêt shaktiyon ke bal ke dwara shamshaan ki ekantikta me abhichar karm,bhoot-pret,pishach,betal,bhairav aadi ke mantra siddh kiye jate hain . Shamshaan ke adhishthrata dhoomra lochan ka swaroop ghanshyam,bhayanak dirgh deh,bade bade kesh aur saghan badi lomrashi ,hath me vajra,aur pash,nagn paad,tatha chamde ki langot dharan kiye huye hain. Prêt pind aadi tatha chitaagni setapakta shav ka maans -majja inka bhojan hai. Shukla paksha, tatha Krishna paksha ki 8,14 tatha mangalvaar,shanivaar ka ,15,30 tithi ka is sadhna me jyada prayog hota hai .nana prakaar ke phalo,aamish tatha niramish dono hi prakar ke bhog suvidha anusaar lagaya jata hai. Shamshaan me pravesh karte samay guru,ganesh-batuk-yogini aur matrgano se anumati leta hai.sabi shamshaan me vyapt shaktiyon ko namaskaar kar vah apni sadhna praraambh karta hai aura san par baith kar kramsah shamshanadhipati ko poorv me,bhairav ko dakshin me.kaalbhairav ko pashchim me tatha mahakaal ko uttar me padyadi dekar unka poojan kar bhog-bali aadi deta hai .yadi chita ka prayog kar raha ho to kaalratri,kali tatha mahakaali ke ghor mantra padhta hua bhog samarpit karta hai .tatpashchaat bhoot nath ko bali pradaan kar veerardan mantra se chaturdik raksha chakra ka nirmaan karta hai .yaad rakhiye isi mantra ke baad hi sadhak swayam bhairav roop ho jata hai aur vighn aadi uska kuchh nahi bigaad paate . Iske baad sadhak apne guru dwra nirdisht mantra ka jap karta hai tatha apne prayojan ko siddh karta hai.aghor sadhna,kaal-bhairav sadhna,shamshaan jagran sadhna,asan khilne ki sadhna,ugra kali sadhna,52 bhairav sadhna,mahaugra tara sadhna,shamshaan kali sadhna,marghat chandi sadhna,tantrik shatkarm aadi pramukh sadhna hai iske atirikt veersadhan ek ati mahatvapoorna sadhna hai .ye to nitaant satya hai ki jo sadhnayen soumya roop me bahut lamba samay siddh hone me lagati hain, wahi shamshaan me yekahi tivra gati se aur shighra siddh ho jati hain. Halanki aaj sadhak keliye vatavaran itna anukul nahi hai aur upar sesamajik va kanooni niyam itne jatil ho gaye hain ki sadhak chah kar bhi in sadhnao ko majboorivash kar nahi pata .par Sadgurudev ki aseem kripa dekhiye ki wesahaj hi karoona vash apne shishyon ko aisa vardaan pradaan kar dete hain jiske baad aapko shamshaan jane ki avashayakta hi nahi rahti balki aap swayam hi un saare labhon ko apne sadhna kaksh me bina kisi dosh ke le sakte hain aur un shaktiyon ke sahyog se apne jeevan ko khush haal aur aishvarya yukt bhi bana sakte hain. Aur wo adwiytiya kriya hai Sadgurudev dwara Teevra Mahakaal diksha lena .jiske dwra Sadguru aapke shareer me hi maha shamshaan ki sthapna kar tivra shakti yukt akhand chita ko prajvalit kar dete hain aur jisme sadhak ke sabhi grah doshon bhi bhasmibhoot ho jate hain.iske baad aapko shamshaan jakar jatil kriyaon ko karne ki avashayakta hi nahi rah jati balki aap apne sadhna kaksh me hi un tivra sadhnaon ko guruaagya se sampaan kar siddh kar sakte hain. Abhi bhi yadi ham itni suvidhaon ke baad bhi haath part haath dharebaithe rahe to hamara bhagya phir koi nahi badal sakta .kaha bhi gaya hai ki udyam se hi kaarya siddh hote hain manorath ya chahne se nahi. Buddhiman ko ishara kafi hai . Aapka hi ****ARIF**** Did you know? You can CHAT without downloading messenger. Click here Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Recommended Posts
Join the conversation
You are posting as a guest. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.