Jump to content
IndiaDivine.org

Kya aap Guru Path (Shishyata) ki raah par hain?

Rate this topic


Guest guest

Recommended Posts

Guest guest

Jay Gurudev!

 

Main roj kam se kam 10 baar mail kholta hun....

 

Aur har baar mujhe jab sadhanayein, Mantra-Tantra-Yantra ka vivarab padhane ko

milta hain to khushi hoti hain ki mere Guruji ne kitno ko gyaan pradan kiya

hain....

 

 

Magar ek dukh bhi hota hain..........

 

 

Kahin in mantron mein mere gurubhai guru ko to nahin bhul gaye.

 

 

Yah to nahin bhul gaye ki Shishyata sabse badi chij hain......

Sadhanayein, mantra, tantra, yantra, siddhi, aadi sab chhoti chije hain.

Aur kuchh to yaha tak bhi dekha hain ki kuchh gurubhai dusaro ko khud gyaan de

rahe hain ki aapki yah samasya hain to aap yah diksha le lijiye.....

 

 

Kya we jante hain ki pichhle kis janam ki kis paap karm se uske jivan mein wah

problem hain aur kis diksha, mantra aadi ke dwara uska nirakaran sambhav hain.

 

Jaise ki study ke liye...

Koi kahta hain Saraswati Diksha, koi Neel Tara Diksha, koi gyaan diksha, koi

jivan marg diksha, to koi kuchh aur diksha.

 

jabki 33 Karod devi-devta mein se har kisi devi-devta mein itni saamarthya aur

shakti hain ki kisi ko bhi buddhi, vivek de sakein.

 

Magar phir ek vishishta diksha kyun dete hain. kyunki wahi diksha us shishya ko

asar karti hain. aur jaruri nahi ki dusare shishya ko bhi wahi diksha 100%

success de.

 

Aur kise kya banaana hain. kis shishya ko kya gyaan dena hain, iska nirdharan

koi gurubhai nahin kar sakta.

Sirf guru kar sakte hain.

 

Aur phir kis shishya ko kya banana hain, kis jagah lekar jana hain. kya usase

karwana hain. yah to sadgurudev ji hi jante hain.

aur aaj Guru Trimurti ji unhi ke kary ko kar rahe hain....

 

aaj bhi yah kary sadgurudev ji dwara Siddhashram se sanchalit hain....

 

 

To jo bhi in mantron ko yun bhej rahe hain.....

 

Un sabhi se ek hi que. hain.

 

kya in mantron ko jaap karne se siddhi mil hi jayegi?

 

Yadi haan to kitna karna hain?

 

125000 (Sawa Lakh) 24 Lakh.....

 

nahin, jab tak guru ki kripa nahin hogi, unki ichchha nahin hogi. Tumhare sare

jaap vyarth hain.

 

shayad sab mere against me hain,,,,, janta hun....

 

Magar shayad kuchh ko pata hi hoga ki:-

 

" Purane samay mein Guru jab shishya ki sewa se prasann hota tha, tab we use kisi

Mantra, tantra ki diksha dekar use Sadhana pradan karte the..... Aur jab wah use

karta tha. tab wah turant hi siddh ho jati thi..... "

 

Aakhir aisa kyun tha.

Kal hoti thi to aaj bhi honi chahiye, ya kahin kuchh gadbad hain.....

 

 

Woh gadbad yah hain ki Hamne Mantra guru se nahin liya.

 

 

Aur Itihaas gawah hain ki Jitne bhi siddhi prapt aur siddhiprad vyaktitv huye

hain, we Guru ki Sewa, Sadhana, Samarpan, aadi se hi nirmit huye hain...

 

Aur aaj kal ke sadhako mein sewa ki bhavna lupt praayah ho gayi hain.

 

Kya aap Guru ke Sanidhya ke liye tadapte hain?

Guru ke bina aapki aankhon se Aanshu bahte hain?

Kyaa aap sochte hain ki aapke guru ne Kitni takleefe jheli hain?

Kyaa aapko lagta hain ki Guru ke bina ek pal bhi aap nahin rah sakte?

Kya aapne Guru ke Gyaan ke Prachar - Prasaar hetu ek, do, panch, das yua adhik

vyaktiyon ko guru ke gyaan se parichit karaya hain?

Kyaa Aap ke hriday mein Guru ke Uddeshya ko poorn karne ki chahat hain?

Kyaa aap chahte hain ki aap Sampoorn Prathwee ko Siddhashram bana sake?

 

Aur kya aap chahte hain ki aap Poorn roop se nikhilmay (Guru Rakt Kan-Kan

Sthapan, Hridyasth Sthapan, Rom-Rom Sthapan, Guru Aatma Eikya,) aadi ko poorn

roop se sthapit karna chahte hain?

 

aur isase bhi badi baat ki kya aap Guru ke Hriday par apna Sthan, Unke Honthon

par Apna naam, Aur unke charnon mein Sewa ki chah rakhte hain?

 

in prashnon ke uttar mujhe nahin chahiye.

Apne aap se poochhiye aur Khud ko taraju mein Touliyega ki aap Guru ke Kitne

karib ja sake hain?

Agar aap aisa nahin kar sake to aapki sari jindagi vyarth chali jayegi. Aur agla

janam phir se yunhi katna hoga.

 

Jivan ki Sarvshreshtha Sadhana, Mantra, Tantra, Yantra, Sab kuchh wah hain jo

Durlabhopanishad mein kahin gayi hain........

 

Aur shankarachrya jaise uchchakoti ke vidwaan ne likha hain ki

" MAIN AAJ JO KUCHH BHI HUN, WAH DURLABHOPNISHAD KI WAJAH SE HI HUN " .

 

To aap sochiye ki aap kis jagah hain......

 

Think....

 

Mujhe aapka reply nahin chahiye, khud se poochhiye aur apne guru ko hi jawab

dijiye ki aap guruji ke kitne karib hain.....

 

" KAROMI TWATPOOJAAM SAPADI SUKHADO ME BHAW VIBHO " .

Arthat

He Prabhu Nikhil Ewam Vandaniya Mataji! main apni pooja ka phal maatr itna hi

chahta hun ki main aapke shreecharnon se kabhi bhi Vilag na Ho sakun. "

 

Jay Gurudev!

Aap sabhi ka chhota bhai.

Raj Nikhil.

Link to comment
Share on other sites

Join the conversation

You are posting as a guest. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.

Guest
Reply to this topic...

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
×
×
  • Create New...