Jump to content
IndiaDivine.org

walai-qum-salaam

Rate this topic


Guest guest

Recommended Posts

emberaan se guzarish ki nacheez ka adaab kabool

farmaiyan. Nacheez kisi taruf ki hasiyat nahi rakhta

par shamuliyat ke waqt rasmi taur par do harf arz kar

raha hoon.

Is group aur tamaam danishmand memberaan ke baare apne

dost Kulbeer se malumaat hasil hua.Is Ahle-Kitab se

mera wasta kareeban 7 saal ka hai. Abhi is ilam ko

padhna sikhne ki koshish kar raha hoon. Kahan tak

pakad bani is baat ke munsif aap honge.

NAHIN KHEL AI DAAG KI YAROON SE KAHDO

KI AATI HAI URDU ZUBAAN AATE AAT.

Bas ik adna si guzarish hai. Mere ustadoon ne farmaya

hai ki is ilam ko jis zubaan mein kalambadh kiya gaya

hai us hi zubaan mein jahan ta mumkin ho harf ba harf

padha aur istemaal kiya jaye tabhi yeh ilam zehan mein

uttar kar use tarashta hai.

Agar angrezi ki banispat hindustani zubaan mein

shamuriyat ki izzazat mil jaye to innayat hogi.

Jaansheen.

 

 

 

 

 

Mail is new and improved - Check it out!

 

Link to comment
Share on other sites

Janaab Jaanasheen Sahib.

 

Is se zyadah Khoobsoorat aur shayista paigham maine is forum mein aaj tak nahin padha.

 

Kisi bhi mazmon mein pakad ke liye faqat use padh lena hi kaafi nahin hota, ik Dard, ik Soz aur ek zaheen Taalib-e-ilm ka Roshan Deemagh (jo aapke alfaaz se zaahir ho raha hai) bhi nihayat zaroori hota hai.

 

Main aapke is khyaal se muqammil taur par muttafiq hoon ki jis zubaan mein jo kitab likhi gayi hoti hai, us ko usi zubaan mein padhne se jo masarrat aur maharat haasil hoti hai woh ehsasaat tarzume wali zubaan se haasil karna qatayi mumkin nahin hota. Woh rooh, woh lazzat aur woh apna-pan jo Lal Kitab ko Urdu mein padh kar haasil hota hai- Waqayi mein laasani tazurba hota hai.

 

Bad-qismati se urdu janane walon ki taydaad kam ho rahi hai. khaas kar Ahal-e-Lal Kitab to is tohfe se mehroom hain. Jab ki unke liye Urdu padhna aur seekhna unke liye nihayat zaroori hai.

 

 

Ganga ki hai woh azmat, Jamuna Ki Shaan Hai,

Ahal-e-Zubaan ye sunlo, ye Urdu Zubaan Hai.

 

Aap mere haq mein duya go rahen, khadim Lal kitab ko lafz-ba-lafz Devnagari mein transliterate karne ki koshish mein hai, Kaam kafi ho bhi chuka hai aur kafi baqaya bhi hai. Meri dili khwahish hai woh log jo Urdu zubaan ke tohfe se hehroom hain woh bhi is kitab ko pdhte huye un heen khoobsoorat ehsasaat se guzren jinse ki Urdu ke shayaqeen do-char huya karte hain.

 

Ayeendah aap apne khayalaat sirf hindustani hi mein zaahir kiya karen, kam-az-kam mujhe to nihayat khushi hogi, vaise koyi etraaz bhi karega aisa to lagta nahin.

 

 

 

 

Regards

 

Yograj Prabhakar

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

jaanasheen jaanasneen <jaansheen_e_lk wrote:

 

emberaan se guzarish ki nacheez ka adaab kaboolfarmaiyan. Nacheez kisi taruf ki hasiyat nahi rakhtapar shamuliyat ke waqt rasmi taur par do harf arz karraha hoon.Is group aur tamaam danishmand memberaan ke baare apnedost Kulbeer se malumaat hasil hua.Is Ahle-Kitab semera wasta kareeban 7 saal ka hai. Abhi is ilam kopadhna sikhne ki koshish kar raha hoon. Kahan takpakad bani is baat ke munsif aap honge.NAHIN KHEL AI DAAG KI YAROON SE KAHDOKI AATI HAI URDU ZUBAAN AATE AAT.Bas ik adna si guzarish hai. Mere ustadoon ne farmayahai ki is ilam ko jis zubaan mein kalambadh kiya gayahai us hi zubaan mein jahan ta mumkin ho harf ba harfpadha aur istemaal kiya jaye tabhi yeh ilam zehan meinuttar kar use tarashta hai.Agar angrezi ki banispat hindustani zubaan meinshamuriyat ki izzazat mil jaye to innayat

hogi.Jaansheen. Mail is new and improved - Check it out!

 

New and Improved Mail - Send 10MB messages!

Link to comment
Share on other sites

Janaab Jaanasheen saheb ,

 

Khushamdeed !!

aap ka is bazm mein shamil hona bayes-e-masharrat hua. Aap ke ilm

mein se kuchh hum logon ko bhee haasil hoga aisee ummeed hai . aapki

zuban-e-shireen aur ikhlaq ke qayal hai hum sab. Janaab Prabhakar

sahib ke baad mere liye kahane ko kuchh bacha bhi nahin hai , sivay

iske ki mashqool hain .

 

tamam bandgi-o-adaab ke baad,

 

bhuwan

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

lalkitab , Yograj Prabhakar

<yr_prabhakar> wrote:

> Janaab Jaanasheen Sahib.

>

> Is se zyadah Khoobsoorat aur shayista paigham maine is forum mein

aaj tak nahin padha.

>

> Kisi bhi mazmon mein pakad ke liye faqat use padh lena hi kaafi

nahin hota, ik Dard, ik Soz aur ek zaheen Taalib-e-ilm ka Roshan

Deemagh (jo aapke alfaaz se zaahir ho raha hai) bhi nihayat zaroori

hota hai.

>

> Main aapke is khyaal se muqammil taur par muttafiq hoon ki jis

zubaan mein jo kitab likhi gayi hoti hai, us ko usi zubaan mein

padhne se jo masarrat aur maharat haasil hoti hai woh ehsasaat

tarzume wali zubaan se haasil karna qatayi mumkin nahin hota. Woh

rooh, woh lazzat aur woh apna-pan jo Lal Kitab ko Urdu mein padh kar

haasil hota hai- Waqayi mein laasani tazurba hota hai.

>

> Bad-qismati se urdu janane walon ki taydaad kam ho rahi hai. khaas

kar Ahal-e-Lal Kitab to is tohfe se mehroom hain. Jab ki unke liye

Urdu padhna aur seekhna unke liye nihayat zaroori hai.

>

> Ganga ki hai woh azmat, Jamuna Ki Shaan Hai,

> Ahal-e-Zubaan ye sunlo, ye Urdu Zubaan Hai.

>

>

> Aap mere haq mein duya go rahen, khadim Lal kitab ko lafz-ba-lafz

Devnagari mein transliterate karne ki koshish mein hai, Kaam kafi ho

bhi chuka hai aur kafi baqaya bhi hai. Meri dili khwahish hai woh

log jo Urdu zubaan ke tohfe se hehroom hain woh bhi is kitab ko

pdhte huye un heen khoobsoorat ehsasaat se guzren jinse ki Urdu ke

shayaqeen do-char huya karte hain.

>

> Ayeendah aap apne khayalaat sirf hindustani hi mein zaahir kiya

karen, kam-az-kam mujhe to nihayat khushi hogi, vaise koyi etraaz

bhi karega aisa to lagta nahin.

>

>

>

>

> Regards

>

> Yograj Prabhakar

>

>

>

>

>

>

>

>

>

jaanasheen jaanasneen <jaansheen_e_lk> wrote:

> emberaan se guzarish ki nacheez ka adaab kabool

> farmaiyan. Nacheez kisi taruf ki hasiyat nahi rakhta

> par shamuliyat ke waqt rasmi taur par do harf arz kar

> raha hoon.

> Is group aur tamaam danishmand memberaan ke baare apne

> dost Kulbeer se malumaat hasil hua.Is Ahle-Kitab se

> mera wasta kareeban 7 saal ka hai. Abhi is ilam ko

> padhna sikhne ki koshish kar raha hoon. Kahan tak

> pakad bani is baat ke munsif aap honge.

> NAHIN KHEL AI DAAG KI YAROON SE KAHDO

> KI AATI HAI URDU ZUBAAN AATE AAT.

> Bas ik adna si guzarish hai. Mere ustadoon ne farmaya

> hai ki is ilam ko jis zubaan mein kalambadh kiya gaya

> hai us hi zubaan mein jahan ta mumkin ho harf ba harf

> padha aur istemaal kiya jaye tabhi yeh ilam zehan mein

> uttar kar use tarashta hai.

> Agar angrezi ki banispat hindustani zubaan mein

> shamuriyat ki izzazat mil jaye to innayat hogi.

> Jaansheen.

>

>

>

>

>

> Mail is new and improved - Check it out!

>

>

>

Link to comment
Share on other sites

Janaab Jaannashin Ji

marhabaaa.

Vaqayee tehrir-dar-tehrir bazaa farmaayaa hai aapne aur

yograaj ji ka kayda e khitab to is group ki rooh hai.Lekin munasib ya

gairmunasib shak hotaa hai ki kahin jaannashin ji aayine se mukhatib

to nahi ho gaye kyonki lagta hai ki Yograaj ji rooh-e jaanashin ban

chuke hain,Aaj tak group ko mehfooz rakhaa apne tasavvur se,lekin

aapko didar karvaa diya.Pal bhar ko to aisa laga jaise ek khayaal ke

do tukde mil baithe hon ya fir dimagh ek dil do ,bus khuda na karey

jism ek ho.Varnaa " jhagadaa rooh maaya ka " shuru ho jayegaa aur

lalkitab ke mutabik hum kise kahenge ki but ne rooh se apnaa ghar

kyon poochh liyaa.

 

Khair Hamain andaaz nahi tha ki Prabhaker ji bhi rustam-e

urdu niklenge unhone jikra to kiya tha lekin is mithaas se mehroom

rakhaa.Aakhir ab jab poshidgi se daman chhudaa hi liyaa hai to aap

dono ki tanzimi liyakat ko dekhtey hue aap dono se ek iltazaa hai ki

agar ho sake to lalkitab main jo haraf jazbaa-e-urdu ke takalluf se

bhare hain unki aasandurusti kartey hue ek file banaaker group main

rakhne ki zehmat uthane ka takalluf karain.Kyonki mere guru ne to

kahaa tha ki gyaan kabhi zabaan ka gulaam nahi hotaa gar aisaa hotaa

to urdu ki tamaam kitabon ka tarjumaa english main na hota.Magar

shaayri ke muamle main aapka kahaa bilkul vazib utartaa hai vahaan

shayer ki rooh ka talluk hotaa hai alfazon se. choonki ye urdu ke

alfazon ki file banane ki koshish maine bhi ki thi lekin ilm-e

computer ne vafaa na ki aur prabhaker ji to mujhse bhi miley hain.

Taalimi liyakat to unke rukhsaar ka noor hai.kam-o-besh computer ki

pechidgiyon se bhi umdaa taruf rakhtey hain.Aur riyasat-e-internet ke

bhi betaaz baadshah hain, iske galiyaron ki baarikiyon ke ilm ke

hunarmand bhi hain.Pataa nahi aap unse mile ya nahi lekin mere to

garibkhane per bhi tashrif laane ki meharbani ki thi.Isiliye main

unse karibi taur per vaqif hoon.Jahaan tak main samajhtaa hoon ki ve

poori tarah aapke jazba-e-zuzb ke makool hain.

Huzoor,main urdu zabaan ka zyada ilm nahi rakhtaa,lekin aapke

zazba-e-urdu ke rahgujar sirf khushamdid kartey hue urdu ke chand

alfaaz ki madad le rahaa hoon taaki aapko apnepan ka ahsaas lage, gar

kahin shan main gustakhi ho gayi ho to muaafi ka hakdaar banaa dain.

Lekin hum rahain na rahain,aapse guzarish hai ki:--

Is anjuman main aapko ,aanaa hai baar baar

Diwar-o dar ko gaur se pehchaan liziye.

Bus ek baar meraa kahaa maan liziye.

Ek adnaa sa insaan

Lalkitabee

 

lalkitab , jaanasheen jaanasneen

<jaansheen_e_lk> wrote:

> emberaan se guzarish ki nacheez ka adaab kabool

> farmaiyan. Nacheez kisi taruf ki hasiyat nahi rakhta

> par shamuliyat ke waqt rasmi taur par do harf arz kar

> raha hoon.

> Is group aur tamaam danishmand memberaan ke baare apne

> dost Kulbeer se malumaat hasil hua.Is Ahle-Kitab se

> mera wasta kareeban 7 saal ka hai. Abhi is ilam ko

> padhna sikhne ki koshish kar raha hoon. Kahan tak

> pakad bani is baat ke munsif aap honge.

> NAHIN KHEL AI DAAG KI YAROON SE KAHDO

> KI AATI HAI URDU ZUBAAN AATE AAT.

> Bas ik adna si guzarish hai. Mere ustadoon ne farmaya

> hai ki is ilam ko jis zubaan mein kalambadh kiya gaya

> hai us hi zubaan mein jahan ta mumkin ho harf ba harf

> padha aur istemaal kiya jaye tabhi yeh ilam zehan mein

> uttar kar use tarashta hai.

> Agar angrezi ki banispat hindustani zubaan mein

> shamuriyat ki izzazat mil jaye to innayat hogi.

> Jaansheen.

>

>

>

>

>

> Mail is new and improved - Check it out!

>

Link to comment
Share on other sites

Janaab Lal kitabee Saheb Rehmatullah Aleh,

 

Khadim Ka A'adab Qabool Ho,

 

Aap ki tamaam Hausala Afzaayi aur Tanz-o-Tanqeed sar mathe par. Guzarish faqat itni si hai ki khudaya apne alfaazon ko shaque-o-shaqooq ki siyah roshnayi se maloos mat kiya karen.

 

Apka

 

Yograj Prabhakar.

 

 

lalkitabee <lalkitabee wrote:

Janaab Jaannashin Ji marhabaaa. Vaqayee tehrir-dar-tehrir bazaa farmaayaa hai aapne aur yograaj ji ka kayda e khitab to is group ki rooh hai.Lekin munasib ya gairmunasib shak hotaa hai ki kahin jaannashin ji aayine se mukhatib to nahi ho gaye kyonki lagta hai ki Yograaj ji rooh-e jaanashin ban chuke hain,Aaj tak group ko mehfooz rakhaa apne tasavvur se,lekin aapko didar karvaa diya.Pal bhar ko to aisa laga jaise ek khayaal ke do tukde mil baithe hon ya fir dimagh ek dil do ,bus khuda na karey jism ek ho.Varnaa "jhagadaa rooh maaya ka" shuru ho jayegaa aur lalkitab ke mutabik hum kise kahenge ki but ne rooh se apnaa ghar kyon poochh liyaa. Khair Hamain andaaz nahi tha ki Prabhaker ji bhi rustam-e

urdu niklenge unhone jikra to kiya tha lekin is mithaas se mehroom rakhaa.Aakhir ab jab poshidgi se daman chhudaa hi liyaa hai to aap dono ki tanzimi liyakat ko dekhtey hue aap dono se ek iltazaa hai ki agar ho sake to lalkitab main jo haraf jazbaa-e-urdu ke takalluf se bhare hain unki aasandurusti kartey hue ek file banaaker group main rakhne ki zehmat uthane ka takalluf karain.Kyonki mere guru ne to kahaa tha ki gyaan kabhi zabaan ka gulaam nahi hotaa gar aisaa hotaa to urdu ki tamaam kitabon ka tarjumaa english main na hota.Magar shaayri ke muamle main aapka kahaa bilkul vazib utartaa hai vahaan shayer ki rooh ka talluk hotaa hai alfazon se. choonki ye urdu ke alfazon ki file banane ki koshish maine bhi ki thi lekin ilm-e computer ne vafaa na ki aur prabhaker ji to mujhse bhi miley hain. Taalimi liyakat to unke rukhsaar ka noor hai.kam-o-besh computer ki pechidgiyon se bhi umdaa taruf rakhtey hain.Aur

riyasat-e-internet ke bhi betaaz baadshah hain, iske galiyaron ki baarikiyon ke ilm ke hunarmand bhi hain.Pataa nahi aap unse mile ya nahi lekin mere to garibkhane per bhi tashrif laane ki meharbani ki thi.Isiliye main unse karibi taur per vaqif hoon.Jahaan tak main samajhtaa hoon ki ve poori tarah aapke jazba-e-zuzb ke makool hain. Huzoor,main urdu zabaan ka zyada ilm nahi rakhtaa,lekin aapke zazba-e-urdu ke rahgujar sirf khushamdid kartey hue urdu ke chand alfaaz ki madad le rahaa hoon taaki aapko apnepan ka ahsaas lage, gar kahin shan main gustakhi ho gayi ho to muaafi ka hakdaar banaa dain. Lekin hum rahain na rahain,aapse guzarish hai ki:-- Is anjuman main aapko ,aanaa hai baar baar Diwar-o dar ko gaur se pehchaan liziye. Bus ek baar meraa kahaa maan liziye.Ek adnaa sa

insaanLalkitabee lalkitab , jaanasheen jaanasneen <jaansheen_e_lk> wrote:> emberaan se guzarish ki nacheez ka adaab kabool> farmaiyan. Nacheez kisi taruf ki hasiyat nahi rakhta> par shamuliyat ke waqt rasmi taur par do harf arz kar> raha hoon.> Is group aur tamaam danishmand memberaan ke baare apne> dost Kulbeer se malumaat hasil hua.Is Ahle-Kitab se> mera wasta kareeban 7 saal ka hai. Abhi is ilam ko> padhna sikhne ki koshish kar raha hoon. Kahan tak> pakad bani is baat ke munsif aap honge.> NAHIN KHEL AI DAAG KI YAROON SE KAHDO> KI AATI HAI URDU ZUBAAN AATE AAT.> Bas ik adna si guzarish hai. Mere ustadoon ne farmaya> hai ki is ilam ko jis zubaan mein kalambadh kiya gaya> hai us hi zubaan mein jahan ta mumkin ho harf ba harf> padha aur istemaal kiya jaye tabhi yeh ilam zehan mein> uttar kar use tarashta

hai.> Agar angrezi ki banispat hindustani zubaan mein> shamuriyat ki izzazat mil jaye to innayat hogi.> Jaansheen.> > > > > > Mail is new and improved - Check it out!> Do You ?

Link to comment
Share on other sites

Join the conversation

You are posting as a guest. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.

Guest
Reply to this topic...

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
×
×
  • Create New...