Jump to content
IndiaDivine.org

to vasumati ji

Rate this topic


Guest guest

Recommended Posts

Aadarniyaa bahin Vasumati

Im verry sorry that i have not attended Mr.Nandkishore's

problem.Dekhiye main bhi ek insaan hi hoon jaise sabhi ke saath

halaat hote hain aisi hi kuchh pristhitiyaan mere saath bhi hain.Isi

kaaran main regular forum attend karne main asmarth hoon.Iske liye

main sabhi members se maafi chahtaa hoon.Rahi baat igo heart ki to

main yahi keh saktaa hoon ki maine ek siddhant padha tha ki

buddhimaan vyakti ko kisi vishay main tab tak nahi bolnaa chahiye jab

tak ki use yeh na lage ki ab agar nahi bolaa to nuksaan ho jayegaa

isi kaaran kam se kam main moorkh apne aapko apni hi nazaron main

moorkh kaise kehlvaa saktaa tha.Aap is vishay main charcha

paricharcha ker rahi thi bhaley hi veh lalkitab se alag hai lekin

main keh saktaa hoon ki veh prabhaavi hai.Discussiom ka abhipray yeh

nahi ki kisi ke beech main bina vazah pair daaala jaye(according to

me only)Main ek karmkaandi pita ka betaa hoon aur ek karmkaandi guru

ka shishya bhi aur apne guru ke saath rehtey hue maine chamtkaar hote

bhi dekhey hain unhi anubhavon ke aadhar per main keh saktaa hoon ki

aapka kahaa jangal main rone ke samaan vyarth nahi hai usmain bhi

asar hai yahi karan tha ki pehley logo ki dincharya main kuchh stotra

shamil hote they taaki jaane anjaane paapjanya anishton se rakshaa ho

sakey.bhale hi lalkitab se alag tarikaa aapne apnaaya aur uske

peechhey ek hamdardi aur mangal kamna ka bhaav tha lekin veh bekaar

nahi hai sadiyon se azmaaya ja chukaa hai unhain bhi.Ab to ap samajh

gayi hongi ki mere aur umesh ji ke hastekshep na karne ke peechhey

kya karan hongeFir bhi main is forum ki buniyaad main kuchh bricks

rakhtey rehney ki koshish kartaa rahoonga.Aap sabhi ne jo samman

diyaa hai uske liye shukriya, pataa nahi main us sammaan ke kabil

hoon ya nahi ,lekin kripyaa mujh per aisi tohmat mat lagaiye.

With regards

Lalkitabee

lalkitab , vasumati padhye

<vasumatipadhye> wrote:

> Janab Jaanasheen sahaab aadab,

> aapane bilkul durust farmaya hai.Hum bhi Vahi doharana chahate

hai.Shri Nandkishoreji, halat se tang aakar, khudkushiki Jaban bol

rahe the,to hamane unhe apani tarike se dava batayi,lekin hum is chiz

se jarur vaqif hai ke Shri Lakitabji ya Shri Muditji hi unka ilaj kar

sakate hai.Unka ilm humse kai jada badhakar hai,lekin unaki narajgi

samaz me nahi aati.

> Isiliye hum Shri lalkitabjise darkhwast karana munasib samazte

hai,kya vah manzur hogi?

> regards

> vasumati

>

>

>

>

>

>

Link to comment
Share on other sites

Aadarniya Bade bhaisahab Shri lalkitabeeji sadar pranam

Yeh to aapaka baddapn hai jo aapane vakta nikalkar Shri.Nandkishoreji ki madad ki.Mai Shri Muditjise bhi katai naraj nahi hu aur na hi mai manungi ke unhe koi Igo problem hai.

Shri.Muditji Sulzaye hue vyakti hai.muze sirf is baat ka dukh hai ke vah hume unase jada kabil manate hai.mai astrologer nahi hu, lekin spiritual anubhav choti umra me bahut mila hai, aur bramhin parivarse hone ke karan puja-path me vishvas pahale hi se tha aur hai, lekin andhavishvas katai nahi hai.

Nandkishoreji halatse tang aakar aatmahatya ki bat karane lage to raha nahi gaya.mai bhi lalkitab janana chahati hu, lekin kya kare yeh "Teva" ya " Khazana" jaise shabdose vaqif nahi hu.Nandkishoreji frustration me aakar anajaneme Shri Muditji ko galat samaz baithe to halat ki vajahasehi.

maine choti hi umrame dost to kya jo anjan the , jinhone mere parivarke acchhepan ka fayada uthaya tha, aise bhi longonki madad ki.Kyonki agar hum kisiki madad kare to dusara aadami Ishwar ke roop me hamari sahayata jarur karata hai, is baat ka maine aur mere parivar ne khud anubhav liya hai.Bhagvan Shri Shivji aur mata Shri Mahalakshmi ki aseem krupa ka anubhav mai khud le chuki hun.maine Nandkishorejise yehi kaha tha ke agar anajane me hi sahi agar hum kisika dil dukhaye to unase mafi jarur mange.Usase man to hulka ho jayega aur ek dusare tatha Ishwar ke prati shraddha jarur badhegi.Jo kuch bhi hua vah bhulkar nirmal manse agar hum ek dusare ka aadar karke longoki madad kare to shayad her baat sonahi siddh hogi.

Muditjike prati mera aadar ab bhi hai aur nirantar jari rahega.Muditji ya anya koi Res. astrologer jara Lalkitab ki choti choti batonpe vakta milane par lekhmala/article likhe to hum sub readers ke liye upyukta sabit hogi.

Rahi Nandkishoreji ki baat to vah apaka diya hua upay jarur kare to unhe labh ho sakata hai.Her din kisina kisiki samasya Muditji sulzate hai, shayad yehi dekhkar unhone Muditjiko samasya bheji hogi.

Maine aapapar bhi koi ilzam nahi lagaya hai krupaya muze bhi galat na samaze.

Jane-anajaneme agar maine kiskobhi chot pahuchayi ho to shuddha manse mafi chahati hu.

Warm regards

vasumati

vote. - Register online to vote today!

Link to comment
Share on other sites

Join the conversation

You are posting as a guest. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.

Guest
Reply to this topic...

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
×
×
  • Create New...