Guest guest Posted July 9, 2008 Report Share Posted July 9, 2008 Members, Namaskar, Mangal khana no. 8 ke liye lk mein jo upay likha hai dekhne mein yeh aya hai kee sab lal kitabi yeh upay galat karwate hain, ho sakta hai ki mein hee galat hoon, agar mein galat hoon to zaroor batayein. Upay:- mithi roti ( taveh ki nahi ) tandoor mein lagwa kar kutton ko de. ab yahan par hota kya hai ki atta to ghar mein bana lete hain aur roti bazar se lagwa lete hain. Iss ko dhayan se pada jaye to apko yahan yeh samajh ayega ki roti taveh par nahi banani.yahan par taveh ki manahi hai kyon.......? abb jab bhee aap kisi ko yeh upay batayein to mere khayal se yeh bhee zaroor bata dein ki roti ko tanoor wala lohe ki seekh (iron rod jo ammtaur par tandoor se roti nikalane ke liye tandoor wala apne paas rakhta hai) na laga paye. matlab saaf hai ki jaise pehle auratein ghar mein tandoor par roti banati thee vaise hee banwai jaye. yahan par roti ko lohe par/ loha touch (shani) na kar paye iss liye tandoor par banane ke liye likha hai. Mahajan P.S. Mangal khana no. 8 wale ko ghar par, ghar ki chhat par tandoor rakhne ki manahi hai. Quote Link to comment Share on other sites More sharing options...
Recommended Posts
Join the conversation
You are posting as a guest. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.