Jump to content
IndiaDivine.org

Shani ko adhoora chhoda

Rate this topic


Guest guest

Recommended Posts

Guest guest

Respected Members,

Jaisa ki aap sab jante hai ki lal kitab mein jikar aata hai ki

SHANI KHANA NUMBER 2 KEY SAMAY MAKAAN(SHANI) JAISA BANE BAN NE DEY.MUBARAK

HOGA.yani ki beech mein construction nahi rokni.

iska prabhaw hamay LAL KITAB 1952 KA LIPAYANTAR mein dekhne ko

mila.14 december 2009 ko part 1 aa gya tha aur announce kiya gya tha ki jan 2010

tak doosra part aa jaye ga.magar 26 march tak bi doosra part mukammal nahi ho

saka.

Karan sapasht hai pehla part shani 2 tak likha gya.shani

ko adhoora chhoda.yahan par b shani apna asar dikha gya.ab dekhte hai shani kab

nek hoga.

pujya pundit ji ney lal kitab 1952 ko ek hi part mein

likha,magar yahan aaj is kitab ko 2 part mein chhapne ka maqsad kya hai yeh to

pramatma hi jane.kehte hai jaisi niyat waisi murad.niyat nek to phal nek.

yadi yeh lipayantar hai to is kitab ko bilkul waise hi ek part mein

kyo nahi likha gya.

sabse badi baat gaur karne layak yeh hai ki yadi yeh publisher

par apna asar dikha sakti hai to jiske pass hogi ya jo isey do adhoore ko

samjhne ya parne ki koshish karega kya use nek asar mil sakta hai.yadi pundit ji

ney iski jild(binding par lal rang ka nek asar mana hai)to iska saaf matlab hai

is kitab key shabad gaibi hai na ki kisi insaan key dimaag ki apni upaj.ab yadi

koi apni samajh sey 2 part kar dey to kya asar hoga parne walon par aur kitab ki

trading karne walon par.

With Regards

Kunwar Vishal

Link to comment
Share on other sites

Join the conversation

You are posting as a guest. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.

Guest
Reply to this topic...

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
×
×
  • Create New...