Jump to content
IndiaDivine.org

He Swami mai purn nistha avam manoyog se aapke anushasan ka paalan karna chahta hu--------

Rate this topic


Guest guest

Recommended Posts

Guest guest

He Swami aapke pawan kamal charno me es sewak ka shat-shat pranam avam namaskar.He Swami aapne mujh par barhi kripa ki jiske fal-swarup mai patni Usha ji ke sang aapke pawan dhaam Puttaparth aa saka aur aapke pawan darshan kar saka. He Swami Puttaparthi es dharti par swarg hai jaha aap virajate hai.Pl aisi hi kripa-daya ham par sadev banaye rakhe jisase punah-punah aapki pawan dharti Puttaparthi mai aa saku.Yahi aapse meri karvaddh vinati avam prarthana hai. He Swami mai purn-samarpan aur sachchi bhawana se aapke maarg par katibaddhata ke saath badhana chahta hu.Par mere hriday me nana-prakar ke vicharo ki hal-chal hoti rahti hai jo mere antahkaran ko ashant avam bechain kar deti hai.Aur kabhi-kabhi en vicharo ke aaveg ko rok pana hamare liye barha muskil ho jata hai.Aisi esthiti me mai en vicharo ke aaveg me bah jata hu. Pl aap hamare andar ho rahi es hal–chal ko apni shakti avam saamarth se rokane ki kripa kare.Jisase mai unmukt bhav se aapke bataye maarg par badh saku aur purn manoyog se aapka chintan, esmaran avam dhyan kar saku. He Swami mai purn nistha avam manoyog se aapke anushasan ka paalan karna

chahta hu.Aapke batlaye maarg par badhana chahta hu.Attaiv he Swami pl hamari madad kare jisase mai pavitra jeewan ki raah par katibaddhata ke saath aage badh saku aur aapke anushasan ka kathorata se paalan kar saku. Jai Sai Nath.Pawan Om Samadhi ki Jai. Aapki kripa–daya ka aakanshi, Shatrughan, Time 11:00 a.m 15-6-2007 =======

Looking for people who are YOUR TYPE? Find them here!

Link to comment
Share on other sites

Join the conversation

You are posting as a guest. If you have an account, sign in now to post with your account.
Note: Your post will require moderator approval before it will be visible.

Guest
Reply to this topic...

×   Pasted as rich text.   Paste as plain text instead

  Only 75 emoji are allowed.

×   Your link has been automatically embedded.   Display as a link instead

×   Your previous content has been restored.   Clear editor

×   You cannot paste images directly. Upload or insert images from URL.

Loading...
×
×
  • Create New...